Ghazal SMS Page 40



1


Badalti Rut Ka Ishara Dekhte Hain
Ab Kaise Hoga Guzara Dekhte Hain

Mohabbat Ki Ye Rasm Bhi Kitni Ajeeb Hai
Jaane Wale Palat Kar Dobara Dekhte Hain

Doobne Wale Doobne Se Zara Pehle
Ek Umeed Par Kinara Dekhte Hain

Kiya Mohabbat Humein Bhi Raas Aaye Gi "Mohsin"
Aao Apna Apna Sitara Dekhte Hain.



Submitted By Muneer
2


Us ki gali me phir muje ik bar ley chalo
Majbor kar k mujh ko mery yar ley chalo

Shayad ye mera wehm ho mera khayal ho
Mumkin ho mery bad usey mera malal ho

Pachta raha hy ab mujhe dar sey utha k wo
Betha hy meri rah me aankhen bicha k wo

Us ne bhi to kia tha mujhe pyar ley chalo
Us ki gali me phir mujhe ik bar ley chalo

Diwana keh k logon ne har baat taal di
Dunya ne mery paon me zanjeer dal di

Chaho jo tum to mera muqaddar sanwaar do
Yaro ye mery paon ki bairri utaar do

Usne kia hai milne ka ikrar ley chalo
Us ki gali me phir mujhe ik bar ley chalo



Submitted By Muneer
3


*CHAHAT*

Log bas mohabbat ko paane ki baat karte hain
Ham to usse nibhane ki baat karte hain

Log chahte nahi "CHAHAT" ko chahat samajh kar
Ham "CHAHAT" ko chahat se chahne ki baat karte hain

Log mohabbat k samandar chahte hain paar karna
Ham to bas doob jaane ki baat karte hain



Submitted By Muneer
4


Mujhe mehsoos hota hai k lutf-e-zindagi kam hai
Gham-e-dil had se bharr kar hain, muyassar ab khushi kam hai

Musalsal dil ki be-cheni ko kya kehtay hain dil wale?
Tumhein maloom ho shayed, mujhe tou aa'gagi kam hai

Ab is k baad jism-o-jaan ko bhi jalaney sey kya hasil?
Chiraghon meinlahoon jalta hai, phir bhi roshni kam hai

Jisey bhi dost samjha dushman-e-jaan woh tehra
Nahi hai dosti jis se, ussi sey dushmani kam hai



Submitted By Muneer
5


pYar karta hai wo you jesy saza deta hai
jAb hansi aaye labon pe tou rula deta hai

kAbhi seeny se laga leta hai tehreer meri
kAbhi jhutla k wo kaghaz ko jala deta hai

kAbhi wo dil se laga leta hai tasweer meri
kAbhi barham ho tou har naksh mita deta hai

kYon dikhatey ho zamane ko har ek chhot apni
yE zamana hi tou zakhmon ko hawa deta hai

tOr dey ehad-e-wafa bhool ja chahat ko "WASI"
kOn iss dunya mein chahat ka sila deta hai



Submitted By Muneer
6


Itna toota hoon k choonay se bikher jaon ga
Ab agar aur azmao gay to mar jaon ga

Eik aarzi musafir hoon main teri kashti mein
Tu jahan mujh se kahey ga main uter jaon ga

Haath barhao gay tou saya ban k saath rahon ga
Haath choro gay to hamesha k liye bicher jaon ga



Submitted By Muneer
7


Mujrim bhi tha m0hsin bhi mera lagta tha,
Dash-e-qatil bhi mujhe dash-e-hina lagta the

Dekhne wale tau usey dekhte reh jate they,
Haan w0 shakhs m0habbat se bhara lagta tha

Kaant0n bhari shaakh nazar aata the kabhi,
Ph00l lagta tha kabhi baad-e-saba lagta tha

Ab l0g0n se p0chta phirta hai mere ghar ka pata,
Main jise sare zamane mein bura lagta tha

Uski baaten thein rivayat se hat kar "FARAZ",
Sab mein rehta tha magar sab se juda lagta tha



Submitted By Muneer
8


Usne jab jab mujhe dil se pukara MOHSIN
Main ne tab tab ye bataya k tumhara MOHSIN

Log sadiyon ki khataon pe bhi khuch basty hain
Humko lamhon ki wafaon ne ujara MOHSIN

Jab ho gaya ye yaqin ab wo nahi aaye ga
Ghum our aansoon ne diya dil ko sahara MOHSIN

Wo tha jab paas tou jeeny ko bhi dil karta tha
Ab tou pal bhar bhi nahi hota guzara MOHSIN

Usko pana tou muqadar ki lakiron mein tha
Uska khon bhi karain kesy gavara MOHSIN



Submitted By Muneer
9


"Teri zulfon sy jugnu, iktasaab-e-noor karta hay"
"Ye ban-jara issi ban me, thakawat door karta hay"

"Mujhy toba ka poora ajar milta hay ussi sa'at"
"Koi zuhra-jabeen peeny pe jab majboor karta hay"

"Wo hans kar baat hi kar lein tou kaafi sy ziada hay"
"Pari zaadon sy jhagrra kya koi mazdoor karta hay"

"Nazar-bazi ko arbab-e-khirad kuch b kahen lekin"
"Ye rangeen mashghala dil ko bohat masroor karta hay"



Submitted By Muneer
10


O be'khabar tujhe kia khabar teri aankhon mein kesa jamal hay
Tujhe dekh le jo bas ek nazar uski aankhon mein phir ye swal hay

Mujhe neend se kion jaga diya, mujhe khuwab kesa dikha diya
Koi noor hay, koi hoor hay, ya k saadgi ki misaal hay

Teri saans se meri aas hay, tu jo paas hay tou ye saans hay
Mujhe zindagi ki tou bheek de meri zindagi ka sawal hay

Meri har nazar mein basa hay tu, mere har qalam pe likha hay tu
Tujhe soch loon tu ghazal meri, na likh sakoon tu khayal hay



Submitted By Muneer


<<First       <Previous       31   32   33   34   35   36   37   38   39   40       Next>

Newer Post Older Post