Ghazal SMS Page 38
"TANHA" ghar se bahir jana theek nahi
Tum masoom ho aur zamana theek nahi
Saaf dilon ko phir se mela kar den gi
Guzri baaton ko duhraha theek nahi
Aisi cheezain door se achi lagti hein
Chaand ko apne paas bulana theek nahi
Aao mere haath pe apna haath rakho
Saa'el ko khali lotana theek nahi
Submitted By Muneer |
Muhabbaton ne kesa kamaal kar dala
Humain tou udaasiyon ki misaal kar dala
Kabhi milein tou pouchain gay ik doujay se
K kis ko kis k ghum ne nidhaal kar dala
Tu bata us se kya kahon gi main
Meri udaasi pe jo kisi ne sawaal kar dala
Suna tha zindagi ka safar bohut mushkil hai
Or hum ne kar k muhabbat isay or bhi muhaal kar dala
Kuch hum bhi maum k thay or kuch tum ne bhi
Zindagin ko shoulon ki shaal kar dala
Submitted By Muneer |
Jhuki jhuki si nazar beqarar hai k nahi
Dabaa dabaa sa sahi dil mein pyaar hai k nahi
Tu apne dil ki jawaan dharkanon ko gin k bata
Meri tarah tera dil beqarar hai k nahi
Wo pal k jis mein muhabbat jawaan hoti hai
Us ek pal ka tujhe iinterzar hai k nahi
Teri umeed pe thukra raha hoon dunya ko
Tujhe apne pe ye aitbaar hai k nahi
Submitted By Muneer |
Uth uth k kisi ka interzaar kar k dekhna
Kabhi kisi se piyaar kar k dekhna
Kaise too'te hein muhabbaton k rishtey
Ghaltian do chaar kar k dekhna
Zindagi ka falsafa samjhna ho tou
Barish mein kachi diwaar khari kar k dekhna
Nafrat ho jayegi tum ko bhi duniya se
Muhabbat kisi se beshumaar kar k dekhna
Submitted By Muneer |
Hum se wafa k barey mein jo chaho pooch lo
Lekin wafa ki kiya hai saza ye na poochna
Raastey mein kon kon mila ye poocho shoq se
Kis kis ka saath choot gaya ye na poochna
Kiya hum ne zindagi ko diya hai sub ko hai khabar
Kiya zindagi ne hum ko diya ye na poochna
Submitted By Muneer |
Haath baalon mein phairey tou main so jaon ga
Koi qissa wo sunaye tou main so jaon ga
Us se kehna k mujhe neend nahi aati
Apni baahon mein sulaye tou main so jaon ga
Meri palkon pe sajey hein kayi raaton se diye
Koi palkon se bujhaye tou main so jaon ga
Aakhri saans mujhe moka de de ye zara
Mera wada hai k wo aaye tou main so jaon ga
Baad ki baad mein dekhein ge us se kaho
Aaj ki raat na jaye tou main so jaon ga
Submitted By Muneer |
Hairan hoon ke ye kon sa dastoo-e-wafa hai
Tu misl-e-rag-e-jan hai tou kyon mujh se khafa hai
Tu ahl-e-nazar hai tou nahi tujh ko khabar kyon
Pehlu mein tere koi zamanay se khara hai
Likha hai mera naam samandar pe hawa pe
Aur dono ki fitrat mein sakoon hai na wafa hai
Shikwa nahi mujh ko k hon mehroom-e-tamana
Ghum hai tou faqat itna k tu dekh raha hai
Hum rakhtay hain daawa k hai qaabu humein dil par
Tu saamney aa jaye tou ye baat juda hai
Submitted By Muneer |
Zamane ko jalny do chalo ek saath chalte hain
Nae dunia basanay ko chalo ek saath chalte hain
Humein jivan ka har lamha tumharay naam karna hay
Ye hi wada nibhanay ko chalo ek saath chalte hain
Suna hai mil k chalnay se muqaddar jaag uthtay hain
Ye hi baat azmanay ko chalo ek saath chalte hain
Submitted By Muneer |
Kash tu bhool jata sabhi nafratein, ek pal k waste
Mera dil kab se udaas hai, teri mehfil k waste
Ek aas ka diya jalaye baitha hoon,
Jo k jalta hay sirf tere hi waste
Jaanta hoon tu laut kar nahi aaye ga mere paas
Jaanay kion! har baar sajata hoon mehfil tere waste
Kabhi aa kar tou dekh mera haal kiya hai
Main kia tha kiya ban gaya hoon tere waste
Submitted By Muneer |
Kami hai tou bas itni hai muhabbat k fasane mein
Jisey dil dhondta hai wo nahi milta zamane mein
Faqt diwar-o-dar k patharon ko ghar nahi kehte
Kisi ka piyar bhi lazim hai ghar ko bhar banane mein
Yahan sub apni apni manzilon k raston mein hain
Koi uljha hai khone mein koi khoya hai paane mein
Submitted By Muneer |
<<First <Previous 31 32 33 34 35 36 37 38 39 40 Next>