Ghazal SMS Page 39



1


Mujhe mehsoos hota hai k lutf-e-zindagi kam hai
Ghum-e-dil has se bharr kar hain, Muyassar ab khushi kam hai

Musalsal dil ki be-cheni ko kya kehtey hain dil waley?
Tumhein maloom ho shayed, mujhe to aa'gahi kam hai

Ab is k baad jism-o-jaan ko bhi jalaney sey kya haasil?
Chiraghon mein lahoo jalta hai, phir bhi roshni kam hai

Jisey bhi dost samjha dushman-e-jaan woh tehra
Nahi hai dosti jis sey, ussi sey dushmani kam hai



Submitted By Muneer
2


*"KUCH NAHI"* DArd-o-gham k siva ishq me kia mila kuch nahi
JO tha kho bethy hasil hua kuch nahi

MEne likh k bheja tha kia lagta hun tera?
USney likh k bhej diya kuch nahi

MEne kaha ruk ja mar jaonga tere bin
VO aisey chal para jese suna kuch nahi

AAj ek buzurg ki aankhen bhar aain meri hatheli dekh kar
PHir usney kaha teri lakeeron me likha kuch nahi



Submitted By Muneer
3


'Kuch mehkashi k qisse, kuch aashiqi k qisse'
'Men likh raha hun apni awaargi k qisse'

'Kya zor tha hawa ka bujh gae charagh sare'
'Kis ko sunaon ja k jo hen roshni k qisse'

'Thora sa muskurana phir sir jhuka k rona'
'Kitne ajeeb se hen ye zindagi k qisse'



Submitted By Muneer
4


Yeh zehmat bi to rafta rafta rehmat ho hi jati hai,
Musalsal gham se, gham sehny ki aadat ho hi jati hai..

Maseeha ho agar tum sa to zarurat kiya hai marham ki,
K kaanton sy bi zakhmo ki jarahat ho hi jati hai

Yeh zaruri to nahi k suraj Sawa neze per hi aye,
Badal jaye jub koi apna to qayamat ho hi jati hai

Talluk jin sy ho Gila un per aya hi krta hai,
Mohabbat jin sy ho un sy shikayat ho hi jati hai



Submitted By Muneer
5


Masoom muhabbat ka bus itna fasana hai,
Kaghaz ki haweli hai aur barish ka zamana hai

Kiya shart muhabbat hai, kiya shart zamana hai
Awaz bhi zakhmi hai aur geet bhi gana hai

Is baar uternay ki umeed bohut kam hai
Kashti bhi purani hai aur tofaan bhi aana hai



Submitted By Muneer
6


"Apne labon ko dushman-e-izhaar mat bana,,,
"Sachay hain jo unhain gunahgaar mat bana...

"Jitnay bhi lafz hain wo mahiktay gulaab hain,,,
"Lahijey k faraq se unhain talwaar mat bana...

"Ilzaam kuch to Gardish-e-ayaam ko bhi de,,,
"Apnay har aik ghum ko ghum-e-yaar mat bana...

"Har aik k le'ay khula mat rakh issay 'Faraz',,,
"Ye Dil aik ghar hai issay bazaar mat bana...



Submitted By Muneer
7


Hamara Yeh Tum Ko SALAAM Aakhri Hai
SunO Aj Tum Say Kalaam Aakhri Hai

Agar Ho Sakay To Bhula Dena Hum Ko
Yehi Ek ChOhta Sa Kaam Aakhri Hai

Abhi AarZoun Kay Sehraa PyaaSe Hain
Magar AnsOun Ka Yeh Jaam Aakhri Hai

Teri BewafaYe Ka Shikwaa Aakhri Hai
Yehi To WafaOn Ka Inaam Aakhri Hai

Mariz-e-Muhabbat Ka Aye Chaara SazO
TumHare Shehar Main Yeh Shaam Aakhri Hai

Zara Dair TehrO QaZaa Kay FariShtOn
LabOn Pay Hamara PaYaam Aakhri Hai

Koi MiL Sake Ga Na Hasrat Sa Jesa
Teri AdaOn Ka Yeh GhuLaam Aakhri Hai



Submitted By Muneer
8


Waqt bhi rehta mere sath agar tum kehtey,
Haan badal jatey ye jazbat agar tum kehtey,

Main ne to chahat tha phir pyar ka sooraj chamkey,
Zindagi may hoti na yun raat agar tum kehtey,

Manzil mushkil to na thi apni, guzar hi jati,
Rehta hathon mein tera hath agar tum kehtey,

Tum ne kyun chhor diya mujh ko Muhabbat kar k,
Log yun krte na phir baat agar tum kehtey,

Bheegi palkon ka taqaza hai usay ye keh do,
Ruk bi sakti thi ye barsat agar tum kehtey,



Submitted By Muneer
9


*Mere Paas*
*Baitho*

Main apne daman mein chupa loon tujhko
Dil karta hai apna bana loon tujhko

Mar k bhi na toote ye rishta hamara
Is tarha se apni rooh mein sama loon tujhko

Apni bahon mein is tarha se le loon
K phir na bahon se nikalon tujhko

Tere pyaar ne mujhe har cheez se ghafil kar diya
Ab dil karta hai tujhse chura loon tujhko

Tere beghair ab "WASI" jee nahi sakta
Mere paas baitho ye samjha doon tujhko



Submitted By Muneer
10


Kese bhool gaya wo sath guzare huwe din
Lagta nahi tha dil uska mere bin

Doston se kaha karta tha wo bhi
Kya ye bhi jee sake ga mere bin

Mazaq ban jaya karta tha wo doston mein
Khud ko tanha smajhta tha mere bin

Usay had deewangi kahon ya pagal pan
Tasawur mein wo baatein kya karta tha mere bin

Wo mosamon k badalny se darta nahi tha
Par baharon mein murjha jaya karta tha mere bin

Ab aas toot gayi us k aany ki
Lagta hai wo jeen seekh gaya hai mere bin



Submitted By Muneer


<<First       <Previous       31   32   33   34   35   36   37   38   39   40       Next>

Newer Post Older Post