Ghazal SMS Page 31
Tere khayal mein kuch aisay gum raha barson
Main apne aap se bhi mil nahi saka barson
Kaheen wo zaiqa tehleel hi na ho jaey
Main us se mil k kisi se nahi mila barson
Kaha tha tum ne k tum laut aaoge ik din
So main jahan tha waheen par khara raha barson
Tere baghair meri umar raaigan guzri
Koi bhi kaam theek se nahi huwa barson
Tumhare haath ki dastak ki aas mein
Main apne ghar se kaheen bhi nahi gaya barson
Submitted By Muneer |
Shehar mera magar waqar uska tha
Meri har shaam ko intizaar uska tha
Mere khuwaboon pe jo qabiz hay ek shakhs
Meri aankhon mein sara khumaar uska tha
Mere wajood se jo anjaan ban chuka hay
Meri har saans mein qarar uska tha
Jab bhi mangay hain us sy mulaqaat k do pal
Meri har daleel par inkaar uska tha
Submitted By Muneer |
Kisi ki khatir khona koi sune ga tou kya kahe ga
Ye raaton ko uth k rona koi sune ga tou kya kahe ga
Bhanwar mein mujhko chor aaty tou apni ulfat ka raaz rehta
Sahil pe la k youn dabona koi sune ga tou kya kahe ga
Zamana husn-o-shabab ka hay, haseen khuwab-o-khayal ka hay
Ye shab-bedari ye din ka sona koi sune ga tou kya kahe ga
Kaha jo main ne daro Khuda se na chero k dil darakh raha hay
Wo hans k boli chup raho na koi sune ga tou kya kahe ga
Submitted By Muneer |
Sukoon-E-jaan k liye ab main duaa kese karoon
Dard jab us ne diya hay tou gila kese karoon
Aksar lauta hoon manzil se yehi soch k main
Ab mukamal ye safar us k bina kese karoon
Thi koi mere hi hathon ki lakeeron mein kami
Apni taqdeer ka ab us se gila kese karoon
Submitted By Muneer |
Main ajeeb zamane ki wafa dekhta raha
Umer bhar apna ghar tanha dekhta raha
Kahin na kahin tou badal hi jatay hein silsilay
Magar main jahan gaya sehra dekhta raha
Jaane kyun log qatratay hein log mujhe milne se
Kal shab dair talak aaina dekhta raha
Paani maangte maangte mere hont pathar ho gaye
Wo shakhs mashkiza liye khara dekhta raha
Be-gunah tha phir bhi sar jhukaye huey
Sitamgar k sitam ki inteha dekhta raha
Umer bhar mohabbat ka kuch youn silsila raha
Main usay or wo duniya dekhta raha
Submitted By Muneer |
Jaza pe chor diya, saza pe chor diya
Har ek kaam ko hum ne khuda pe chor diya
Wo hum ko yaad rakhta ya phir bhula deta
Usi ka kaam tha uski raza pe chor diya
Ab us ki marzi bujha de ya phir jala rakhay
Chiragh jo hum ne jala k hawa pe chor diya
Ab us se baat bhi kartey tou kis tarha kartey
Ye masla anaa ka tha anaa pe chor diya
Is liye wo kehtay hain be-wafa hum ko
Kay hum ne sara zamana wafa pe chor diya
Submitted By Muneer |
Azaab-e-deed mein aankhen lahoo lahoo kar k
Main sharm'saar huwa teri justujoo kar k
Suna hai shehar mein zakhmi dilon ka mela hay
Chalen ge hum bhi magar perahan rafoo kar k
Musafat-e-shab-e-hijraan k baad bhed khula
Hawa dukhi hay charaaghon ki aabroo kar k
Ye kis ne hum se lahoo ka khiraaj phir manga?
Abhi tou soye thay maqtal ko sukhuroo kar k
Ujaar rut ko gulaabi banaaye rakhti hay
Hamaari aankh teri deed se wuzoo kar k
Submitted By Muneer |
Hum tera hath chor detay hain,
Umar bhar ka sath chor detay hain,
Tum apni taqdeer sy humain juda kar do,
Hum tumhari baat chor detay hain,
Agar kar lo iqraar sath chalnay ka,
Hum apni zaat chor detay hain,
Apnay naam ka humain leibada dy do,
Hum apni okaat chor detay hain,
Aik hi baar utar aao rooh mein,
Hum roz roz ki mulaqat chor detay hain
Submitted By Muneer |
Elahi teri makhloq ka ajab ik tamasha dekha,
Chalaktey jaam dekhay samandaro ko pyasa dekha
Ye kya majra hay apni tou samajh mein nahi aaya,
Admi apni hi justajoo mein ulajhta dekha
Jin k haath thay khali wo masroof-e-zikr dekhay,
Haathon mein liye tasbi-e-anmol waariz ko bhatakta dekha
Alhamd-o-Lillah ka matlab tou samajh mein aaya
Sirrat-e-mustaqim k matlab pay logon ko jagharta dekha
Eiman bechtay huay Aadam k betay dekhta,
Havaa ki beti ko sar-e-bazar bikta dekha
Kese dunya k makr-o-fraib se samjhoota kar loon,
K in aankhon ne kitne jalte diyon ko bhujta dekha
Submitted By Muneer |
Humnasheen kese bataaon jazba-e-ulfat kya hay
Khud bataye gi mohabbat, mohabbat kya hay
Ishq ko log kyun maseeha samajh bethe hain
Agar nahi ishq haqiqat tou haqiqat kya hay
Aaya parwana gira shama par jal jal k mara
Tu ab bhi soch raha hai mohabbat kya hay
Ishq ko bhool k jannat ki hay duniya ko talaash
Ishq ki aag agar dozakh hay tou jannat kya hay
Meri badli hui rangat, meri halat ko dekh
Ab tou samjho ye k mohabbat kya hay
Submitted By Muneer |
<<First <Previous 31 32 33 34 35 36 37 38 39 40 Next>