Ghazal SMS Page 36



1


Tujhse bichar kar zindagi kat'ti nahi
Dil se yaad or aankhon se surat hat'ti nahi

Khushi dhoondne nikle tou ghum hi itne mile
K muskurane ki ab tou fursat milti nahi

Tere jaane k baad hai dil pe pehre udaasi k
Dil ko ab behlane ki ejazat milti nahi

Zindagi se wabasta hain yaadein itni ay dost
Is bimaar dil ki koi dawa milti nahi

Ysey yaad karna ab tou merey rooh mein sama gaya hai
Yaad karna meri aadat hai or aadat kabhi badal'ti nahi



Submitted By Muneer
2


Agar kaho tou haal dil ka sunaon tum ko
Tamam umar samne bithaon tum ko

Mere zakhmon ka haal pocho agar jan-e-jaan
Tou ek ek zakhm ki tafseel sunaon tum ko

Mout ki neend se bhi gehri ek neend hoti hay
Tere bazuon ka ho takya tou dikhaon tum ko

Yehi dua hay k wo waqt aaye ek baar phir
Tum jo rotho tou haath jor kar manaon tum ko

Har shakhs mein mujhe ek raqeb nazar aata hay
Bol ae mere hum'nawa kis kis ki nazar se bachaon tum ko



Submitted By Muneer
3


Meri chahat ka sar-e-aam tou charcha na karo
Ghum tou pehle bhi hai or tou ruswa na karo

Baat choti si bhi afsana bana deti hai
Tum kitabon pe mera naam likha na karo

Dil ko bechain sa karti hain tumhari aankhain
Raat ko dair tak tum mujhe socha na karo



Submitted By Muneer
4


Tumhein paa k khona mere bus mein nahi
Ab koi or zakhm pirona mere bus mein nahi

Ek umar tak dhoya hai dil k daghon ko
Ab ye dagh dhona mere bus mein nahi

Jaag chuke hain bohut shab ki tanhaiyon mein
K ab raton ko sona mere bus mein nahi

Khushyon ki aakhri umeed le k aaya hon tere dar pe
Dekhon mein or rona ab mere bus mein nahi

Tere bagair nazar aati nahi koi bhi manzil mujhko
Ab kisi or ka hona mere bus mein nahi



Submitted By Muneer
5


Mujhe kitne hi barson se agar-che janta hai wo
Yeh kesa zulm hai k ajnabi gardanta hai wo

Mere haathon ne jis ko chand jaisa roop bakhsha tha
Mujhe taareek lamhon mein kahan pehchanta hai wo

Magar phir bhi usay apna banane k gumaan mein hoon
Mujhe maloom hai k kab kisi ki maanta hai wo

Sahara maangta hai sirf tanhai k lamhon mein
Muhabbat ka ta'aluq kab kisi se baandhta hai wo

Mera dil chahta hai usko seenay se laga loon mein
Redae ghum ko apni rooh pe jab taanta hai wo

Mujhe jab dukh milein tou kis qadar khushiyan manata hai
Chalo Wasi kisi tarha tou mukhko maanta hai wo



Submitted By Muneer
6


Youn bhi hua hai raat ko jab log so gaye
Tanhayi aur main teri yaadon mein kho gaye

Aa dekh tujh se log jo rehty thay door door
Saaye mein teri zulf k chup chaap so gaye

Hum wo jo saarey shehar k kartey thay faisley
Hum log teri chaah mein ruswa bhi ho gaye

Tum kya gaye k waqt ka ehsaas marr gaya
Rooton ko jaagtey rehtey aur din ko so gaye

Ab zindagi k safar mein dhoonda karen gey log humen
Arzaan huey hain itney k nayaab ho gaye



Submitted By Muneer
7


Jin raahon pe ik umar teray saath raha hoon
Kuch din se wo rastey sunsaan bohut hain

Ik tark-e-wafa pe main usay kesay bhula doon
Mujh par abhi us shakhs k ehsaan bohut hain

Bhar aayen na aankhein tou main ik baat kahon
Ab tujh se bicharne k imkaan bohut hain

Abhi mil jao kabhi laut k phir na aaun shayad
Kamzoor hoon meri raah mein raah tofaan bohut hain



Submitted By Muneer
8


Wafa mein ab ye hunar ikhtiyaar karna hai
Wo such kahe na kahe aitbaar karna hai

Ye tujh ko jaagte rehne ka shouq kab se hua?
Mujhe tou khair tera intizaar karna hai

Hawa ki zad mein jalane hain aansoun k chiragh
Kabhi ye jashn sar-e-rah guzaar karna hai

Woh muskura k naye waswason mein daal gaya
Khayal tha k usay sharmsaar karna hai

Tere fikar mein din kis tarha katin apne
Keh shughal-e-shab tou sitare shumaar karna hai

Chalo ye ashk hi moti samajh k beh aayen
Kisi tarha tou hamein rozgaar karna hai

Kabhi tou dil mein chupe zakhm bhi numaya hon
Qabaa samajh k badan taar taar karna hai

Khuda khair ye koi zid k shouq hain Mohsin
Khud apni jaan k dushman se pyaar karna hai



Submitted By Muneer
9


Umer khushiyon mein basar ye zaruri tou nahi
Phir shab-e-ghum ki sehar ho ye zaruri tou nahi

Neend tou dard k bistar pe b aa sakti hai
Unki aaghosh mein sir ho ye zaruri tou nahi

Mohabbat ko logon ne khel samajh rakha hai
Is k matlab se hon sub aashna ye zaruri tou nahi

Har dua mein maangte hain hum tou bus unhain
Hamari har dua mein asar ho ye zaruri tou nahi

Hamari zindagi mein bas tumhari hi kami hai
Tumhain bhi hamari zarurat ho ye zaruri tou nahi



Submitted By Muneer
10


Aaj gum sum hai jo barbaad jaziron jesi
Us ki aankhon mein chamak thi kabhi heeron jesi

Kitne maghroor paharon k badan chaak huye
Taiz hirnon ki jo baarish hui teeron jesi

Jis ki yaadon se khayalon k khazane dekhe
Uski soorat bhi lagi aaj faqeeron jesi

Chaahtain lab pe machalti hui lakri ki tarah
Hasratain aankh mein zindaan k aseeron ki tarah

Hum anna parast tang dast bohat hain Mohsin
Yeh alag baat k aadat hai ameeron jesi



Submitted By Muneer


<<First       <Previous       31   32   33   34   35   36   37   38   39   40       Next>

Newer Post Older Post