Ghazal SMS Page 33
Itna tou mere haal par ahsaan kiya kar
Aankhon se mera dard pehchaan liya kar
Koi saath de safar mein bohat thak gaya hoon main
Kuch pal hon teri dunya mein meri maan liya kar
Afsaane muhabbat k adhure na chor tu
Jurm-e-wafa ka mujh se har beyaan liya kar
Muddat hui is aas par tehra hua hoon main
Bhoole se kabhi tu bhi mera naam liya kar
Tu apni zaat se wabasta kar mujhe
Ho kar khafa mujh se meri yoon na jaan liya kar
Submitted By Muneer |
ZARA SA DEHAN RAKH LENA, MERI PEHLI MUHABBAT HAI,,,
WAFA KA MAAN RAKH LENA, MERI PEHLI MUHABBAT HAI,,,
KAHAN IS UMAR MEIN AB BHEIS BADLEIN GE FAQIROON KA,,,
MILAN ASAAN RAKH LENA, MERI PEHLI MUHABBAT HAI,,,
JUDAI K DINON MEIN LOG CHEHRE BHOOL JATE HAIN,,,
MERI PEHCHAN RAKH LENA, MERI PEHLI MUHABBAT HAI,,,
JUDAI TO MAIN SEH LOON GA MAGR TUM PHIR BHI MILNE KA,,,
KOI IMKAN RAKH LENA, MERI PEHLI MUHABBAT HAI,,,
AGAR SHAYA KARO APNI SHAIRI KA PEHLA MAJMOA,,,
TO YE UNWAN RAKH LENA, MERI PEHLI MUHABBAT HAI,,,,
Submitted By Muneer |
Har din muhabbat ka, har raat muhabbat ki
Hum ehl-e-muhabbat mein har baat muhabbat ki
Daulat k ameeron ne dekhi hi nahi shayad
Daman mein ghareebon k bohtaat muhabbat ki
Seenay pe liye phirtay ilzam muhabbat ka
Aankhon se brasti hai barsaat muhabbat ki
Un k daman mein hai saray jahan ki daulat
Jo baant-te phirtay hain khairaat muhabbat ki
Hum dard k maroon ka itna sa hawala hai
Tanhai hai ghar apna or zaat muhabbat ki
Submitted By Muneer |
Nazar jab us se milti hay, main khud ko bhool jata hoon
Bas ek dharkan dharkti hay, main khud ko bhool jata hoon
Us se milne se pehle main bohut sajta sanwarta hoon
Magar jab wo sanwarti hay, main khud ko bhool jata hoon
Mai naksar kitaabon pe uska hi naam likhta hoon
Magar kuch wo jo likhti hay, main khud ko bhool jata hoon
Submitted By Muneer |
Baat din ki nahi mujhe raat se dar lagta hay
Ghar kacha hay mera mujhe barsaat se dar lagta hay
Usne tohfe mein diye mujhe khoon k aansou
Zindagi ab teri har shoghaat se dar lagta hay
Chhoro pyaar ki baatain koi aur baat karo
Ab tou pyaar ki har baat se dar lagta hay
Meri khaatir wo kahin badnaam na ho jaye
Is liye uski har mulaqaat se dar lagta hay
Apnon mein reh kar kuch aisey zakham khaye
Kay humain tou ab apni zaat se dar lagta hay
Submitted By Muneer |
Kuch is tarhan mein apni zindagi tamaam kar doon,
Waqt-e-sehar tumko dekhon aur shaam kar doon
Khuwaab mein bhi koi tere siwa dikhai na de
Umar bhar k liye aankhon ko tera ghulaam kar doon
Tere pehlu ki khushboo se mahken meri saansen
Or jitni hai meri saansen sab tere naam kar doon
Submitted By Muneer |
Ye manzilain ye raste, meri her khushi tere waste
Ye sukoon aur ye qarar bhi, meri aashqi tere waste
Kabhi ghum na tere qareeb ho, tujhe her khushi naseeb ho
Meri iltaja tere waste, meri her dua tere waste
Meri dharkanain mera pyaar tum,
Meri zindagi meri jaan tum, sabhi chahtain tere waste
Submitted By Muneer |
Bohat bekaif lamhe hain ajab bojhal se sapne hain
Na ghum se dil behlata hai, na khushiyan raas aati hain
Na jane zindagi hum ko kyon aise aazmaati hai
Bohat takleef mein bhi hum bohat hi muskuraty hain
Ghamon se dosti kar k wafa aisay nibhatay hain
Ajab si zindagi hai ye, ajab hi morr aatay hain
Submitted By Muneer |
Woh reh na paaye ik pal bhi mere bina
Ay Khuda tu usko meri aadat si kar day
Itna toot k chahon main usko
K meri chahat ko uski ibadat si ibadat si kar day
Koi choo na paaye apnay khayalat mein bhi usko
Har ik k zehan mein uski hifazat si kar day
Band aankh mein bhi dekh paaon usko
Meri nazar ko aisi ijazat si kar day
Rakhon ga khayal uska umar bhar k liye
Bas ab woh apnay aapko meri amaanat si kar day
Submitted By Muneer |
Chalo jazba-e-dil aazma k dekhtey hain
Khawab uski aankhon mein saja k dekhtey hain
Na jane kyun wo humain apna apna sa lagta hai
Dil k aangan mein jab usay saja k dekhtey hain
Suna hai jo mangain dil se tou mil k rehtey hain
Chalo ab mojzay apni dua k dekhtey hain
Jab bhi likhta hoon koi lafz us k naam kabhi
Sarey lafz mujhe muskura k dekhtey hain
Dhool reh jati hai faqat aankhon mein
Apnon ko jab aazma k dekhtey hain
Submitted By Muneer |
<<First <Previous 31 32 33 34 35 36 37 38 39 40 Next>