Ghazal SMS Page 35
Paas aao ik iltija sun lo
Pyaar hay tum se be-panah sun lo
Ek tumhi ko Khuda se maanga hay
Jab bhi maangi koi dua sun lo
Ibteda ishq ki hui tumse
Tum ho chahat ki inteha sun lo
Bin tere jee na sakoon main tou
Laut aao meri sada sun lo
Dekh lo zindagi adhuri hay
Na raho aur ab juda sun lo
Tum sirf tum ho zindagi meri
Sach hay Sach hay Bakhuda sun lo
Jahan mein koi nahi mera apna
Tum rahogay mere sada sun lo
Submitted By Muneer |
Jahan yaad k deep jalte hoon aur shaam k saaye dhalte hoon
Jab pyaar kisi ka yaad aaye aur zikr kisi k chalte hoon
Aankhon mein aansou bhar aayen aur ashk na tum se rukte hoon
Tab un logon ko yaad karo jo pyaar tumhi se karte hoon
Jo tum bin jee na sakte hoon, Aur tum par dil se marte hoon
Submitted By Muneer |
Judaiyon ka aazaab sehta raha hoon main
Pyaar ki duhaiyaan usay deta raha hoon main
Jis tarha koi aaina toot kar bikhar jata hai
Kuch usi tarha toot kar bikhar raha hoon main
Yaad karta hoon usay har pal har saans se pehle
Aur us say ye keh raha hoon tujhe bhool raha hoon main
Duaaein ki thi barso jisko paney k liye 'shery'
Uski yaad mein tanha beth kar ashq pee raha hoon main
Tum kia samjho gay meri be-basi ko dunia walon
Kisi se kiya tha wada is liye jee raha hoon main
Submitted By Muneer |
Sadma tau hay mujhy bhi kay tujh say juda hoon main
Lekin ye sochta hoon kay ab tera kya hoon main?
Bikhra para hay tery hi ghar mein tera wajood
Bekaar mehfiloon mein dhoondta hoon main
Main khud'khushi kay jurm ka karta hoon aitraaf
Apnay badan ki qabar mein kab say ghira hoon main
Kis kis ka naam laon zuban par kay tery saath
Har roz ek shakhs naya dekhta hoon main
Kiya jany kis ada say liya tu nay mera naam
Dunya samajh rahi hay kab sab kuch tera hoon main
Pohncha jo tery dar pay tau mehsoos ye huwa
Lambi si ek qataar mein jesy khara hoon main
Submitted By Muneer |
Dil k jaltey huay zakhmo ko hawa mat dena
Beetay lamho k kisi pal ko sada mat dena
Teri aankhon k ye aansoo tou anmol moti hain
Apni nadani mein tum inko ganwa mat dena
Ab maza deney laga darda-e-mohabbat mujh ko
Mujh ko is dard ki ab koi dawa mat dena
Youn na ho ko log mohabbat hi se toba kar lein
Is tarha jurm-e-muhabbat ki saza mat dena
Log aksar youn hi bin pochey chale aatey hain
Koi pochay bhi tou tum dil ka pata mat dena
Submitted By Muneer |
Dasht-e-darya k us paar kahan tak jati
Ghar ki diwaar thi kahan tak jati
Mit gai hasrat-e-deedar bhi rafta rafta
Hijr mein hasrat-e-deedar kahan tak jati
Thak gaye hont tera naam bhi letay letay
Aik hi lafz ki takrar kahan tak jati
Rahbar usko sarapon mein liye phirtay thay
Khalqat-e-shehar thi beemar kahan tak jati
Tu bohut door bohut door gaya tha mujhse
Meri awaz mere yaar kahan tak jati
Har taraf husn k bazar lagat thay
Har taraf chashma-e-kharidar kahan tak jati
Submitted By Muneer |
Beet jaye na kahin raat koi baat karo
Jane phir kab ho mulaqat koi baat karo
Bewafa mujh ko kaho ya koi shikwa hi karo
Hai gawara teri har baat koi baat karo
Rooth jao har baar tumhain lain gay
Kuch tou samjho mere jazbaat koi baat karo
Tujh ko dekha hai tou thamnay lagi zakhmon ki jalan
Do na dard ki soghaat koi baat karo
Mosam-e-hijar mein viraan hai mere dil ki zameen
Pal mein ho jaye gi barsaat koi baat karo
Submitted By Muneer |
Kitni majborian hum palkon pe saja letey hain
Hum kahan rotey hain halaat rula detey hain
Yaad rakhtey hain buray waqt k saathi kis ko
Subha hotay hi log shama bhuja detey hain
Saath hotay hain tou lagta hai k sadiyon ka saath hai
Door hotey hain tou faqat do din mein bhula detey hain
Submitted By Muneer |
Waqt apni rawani mein dhalta raha
Main tanha tha, tanha hi chalta raha
Kabhi hansta tha apne naseebon pe main
Kabhi ander hi ander main jalta raha
Kahin shikwe mile aur kahin thokrain
Chotain aisi lagin k sambhalta raha
Usko pane ki khaatir tou sab kuch kia
Wohi sangdil tha raste badalta raha
Submitted By Muneer |
Uljhay huye halaat ka shikwa na kia kar
Khairaat mein khushiyon ki tamana na kia kar
So baar kaha itni mohabbat nahi achi
So baar kaha itna bharosa na kia kar
Halaat tujhko mujhse na milne kabhi dein gay
Ay dost mere meri tamana na kia kar
Kiya jane ye kis morr pe le jaye zamana
Tu mujh ko kisi pal bhi elehda na kia kar
Mumkin hay kisi roz bichar jaon achanak
Tu mujh se pyaar itna ziada na kia kar
Submitted By Muneer |
<<First <Previous 31 32 33 34 35 36 37 38 39 40 Next>