Ghazal SMS Page 34
Woh jazbo ki tijarat thi, ye dil kuch aur samjha tha
Usay hansnay ki aadat thi, ye dil kuch aur samjha tha
Mujhay us ne kaha aao nae dunya basatay hain
Ye sooji shararat thi, ye dil kuch aur samjha tha
Hamesha us ki aankhon mein dhanak rang hotay thay
Ye us ki aam halat thi, ye dil kuch aur samjha tha
Wo meray paas betha dair tak ghazlain meri sunta
Usay khud say muhabbat thi, ye dil kuch aur samjha tha
Submitted By Muneer |
Bohat bekaif lamhe hein, ajab bojhal se sapne hein
Na ghum se dil behlta hai, na khushiyan raas aati hein
Najane zindagi hum ko kyon aisay aazmati hay
Bohat takleef mein bhi hum bohat hi muskuratay hein
Ghamon se dosti kar k wafa aisay nibhatay hein
Ajab si zindagi hai ye ajab hi morr aatay hein
Submitted By Muneer |
Shaam k saanwlay chehray ko nikhara jaye
Kyon na sagar se koi chaand ubhara jaye
Raas aaya nahi taskeen ka sahil koi
Phir mujhe pyaas k darya mein utara jaye
Mehrban teri nazar teri adayen Qatil
Tujhe kis naam se ay dost pukara jaye
Mujh ko dar tere waday pe bharosa kar k
Muft mein ye dil-e-khush fehm na mara jaye
Jis k dam se mere din raat darakhshan thay 'Qateel'
Kese ab us k bina waqt guzara jaye
Submitted By Muneer |
Main apni dosti ko shehar mein ruswa nahi karta
Mohabbat main bhi karta hoon magar charcha nahi karta
Jo mujh se milnay aa jaye main uska dil se khadim hoon
Jo uth k jana chahay main usay roka nahi karta
Jisay main chor deta hoon usay phir bhool jata hoon
Phir us hasti ki janib main kabhi dekha nahi karta
Tera israr sir aankhon pe k tum ko bhool jaon main
Main koshish kar k dekhon ga magar wada nahi karta
Submitted By Muneer |
Usey bana kar Ghazal, main subha shaam likhta raha,
Haqiqat ki har ghari, main usey salam likhta raha
Wo meri mohabbat ko mera junoon samajh betha,
Main naam-E-mohabbat ko bar bar likhta raha
kar lo iqrar-E-dilagi mujh se main ne kaha usey,
Ajab shakhs tha mujhe hi bewafa likhta raha
Uski aarzoo ye thi k bhool jao mujhe,
Main har diwaar per ishq ki inteha likhta raha
Zulm sehna tou ishq ki miraaj hai,
Wo badnaam karta raha, main nadaan likhta raha
Submitted By Muneer |
Kuch khushi k saaye mein or kuch ghamon k saath saath
Zindagi kat hi rahi hay uljhano k saath saath
Aaj tak uski thakan say dukh raha hay ye badan
Ek safar main ne kia tha khuwahishon k saath saath
Kis tarha khaya hay dhoka bataon main kesay
Doston k mashwaray thay saazishon k saath saath
shehar mein kuch log merey chahnay walay bhi thay
Phool bhi lag rahay thay patharon k saath saath
Is dafa saawan mein uski yaad k baadal rahay
Is dafa main khoob roya baroshon k saath saath
Submitted By Muneer |
Shaam ka manzar uljha rasta ek kaha ni tu aur main
Dhalta suraj barhta saya kashti rani tu aur main
Band ik kamra chup ka manzar bhuli bisri deepak yaad
Tanhai dukh kho ki lazzat dilber jani tu aur main
Titli khushboo rang ki baatein shabnam se sharmilay khuwab
Aas ka panchi gum sum khuwahish raat ki rani tu aur main
Palken, chilman sharma sharmi kam kam goya nazren qurb
Raaton jesi seedhi saadhi ik nadani tu aur main
Submitted By Muneer |
Veeran wajood mein chalna para humain
Apney lahoo ki aag mein jalna para humain
Manzil bohut hi door thi raastey they ajnabi
Taaron k sath sath niklna para humain
Saaye ki misaal aaye they us ki gali mein hum
Dhalney lagi jo shaam tou dhalna para humain
Har charhtey sooraj ki salaami na de sakey
So dopehar ki dhoop mein jalna para humain
Kisi taraf bhi sahaara na tha koi
Jab bhi giray tou khud hi sambhalna para humain
Submitted By Muneer |
Aseer-e-dasht-e-wafa ka na maajra kehna
Tamam poochne walon ko bas dua kehna
Ye kehna k raat guzarti hai ab bhi aankhon mein
Tumhari yaad ka qaaim hai silsila kehna
Ye kehna k chaand nikalta hai baam par ab bhi
Magar nahi wo shab ka ab maza kehna
Ye kehna k hum ne hi toofan mein daal di kashti
Qasoor apna hai darya ko kiya bura kehna
Ye kehne k tum se bichar k bikhar gaya hoon main
K jesay haath se gir jaey aaina kehna
Submitted By Muneer |
Bohut mumkin hai dunya cheen le mujhse teri yaadein
Mazeed ab main tere gham ki hifazat ka r nahi sakta
Mujhe aazad kar tauq-e-aseeri bakhshne wale
Main zanjeeron mein elan-e-baghawat kar nahi sakta
Meri mushkil ye hai mujh ko adakari nahi aati
Haqeeqi aadmi rasmi muhabbat kar nahi sakta
Submitted By Muneer |
<<First <Previous 31 32 33 34 35 36 37 38 39 40 Next>