Ghazal SMS Page 37
Har simt-e-gham-e-hijr k toofan hein Mohsin
Mat pooch k hum kitne preshaan hein Mohsin
Har chehra nazar aata hai tasweer ki soorat
Hum shehar k logon se bhi anjaan hein Mohsin
Jis shehar-e-mohabbat ne humein loot liya hai
Us shehar se ab kooch k imkaan hein Mohsin
Kashti abhi umeed ki doobi tou nahi hai
Phir kyon teri aankhon mein ye tofaan hein Mohsin
Kar in ka adab rakh inhein seene se laga kar
Ye dard, ye tanhaiyan mehmaan hein Mohsin
Submitted By Muneer |
Naya hai shehar, naye aasre talash karun
Tu kho gaya hai kahan ab tujhe talash karun
Tu aks hai tou kabhi meri chashm-e-ter mein utar
Tere liye mein kahan aaine talash karun
Ghazal kahun kabhi saada se khat likhun usko
Udaas dil k liye mashgale talash karun
Mere wajood se shayad mile suraag tera
Main khud ko bhi tere waaste talash karun
Main chup rahun kabhi be-wafa hans parun Mohsin
Usey ganwa k ajab hosley talash karun
Submitted By Muneer |
Saath tumhara dena hay aur saath tumhara pana hay
Pathron k is shehar mein ik kaanch ka ghar banana hay
Aasmano pe jo rishta bana, usey dunya mein nibhana hay
Ik naam tumhara likhna hay ik naam hamein ban jana hay
Kuch baatein tum se karni hein, kuch dil ka haal sunana hay
Chupke se jo maangi hein, un duaon mein tum ko pana hay
Tum rooth k mujh se mat jao, mujhe saath tumhara pana hay
Tum laut k wapes aa jao, mujhe zindagi tumhein banana hay
Submitted By Muneer |
Hua hai ishq jo tum se tou is mein meri khata kya hay
Tumhein jo ishq nahi hum se tou is mein meri khata kya hay
Tumhara naam sunte hi ye dil dharakne lagta hay
Dharkanen band nahi hoti tou is mein meri khata kya hay
Nahi chaho gay kabhi hum ko, kese samjhayen dil ko
Dil na samajhna chahe tou is mein meri khata kya hay
Aankhein band karte hein k tum ko na dekhein hum
Tum tab bhi nazar aao tou is mein meri khata kya hay
Submitted By Muneer |
Lehraey sadaa aankh mein pyaare tera aanchal'
Jhomer hai tera chand sitare tera aanchal'
Lipte kabhi shanon pe kabhi zulf se khele'
Hyun dhondta rehta hai sahare tera aankhal'
Ab tak meri yaadon mein hai rangon ka talatum'
Dekha tha kabhi jheel kinare tera aanchal'
Mehkein teri khushbo se dehakti hur saansein'
Jab tez hawa khud se utare tera aanchl'
Aanchal mein rachey rang nikharein teri zulfein'
Ujli hui zulfo ko sanware tera aanchal'
Iss waqt tou titli ki tarha dosh-e-hawa par'
Iss waqt kahan bas mein hamare tera aanchal'
Submitted By Muneer |
Hamara ye tum ko salaam aakhri hai
Suno aaj tum se kalaam aakhri hai
Agar ho sake tou bhula dena hum ko
Yehi ek chota sa kaam aakhri hai
Abhi aarzoun k sehra hain piyase
Magar aansoun ka ye jaam aakhri hai
Mareez-e-muhabbat ki aye chara sazo
Tumhare shehar mein ye shaam aakhri hai
Zara dair thehro qaza k farishto
Lobon pe humare pyaam aakhri hai
Submitted By Muneer |
Pass wo itna tha jesy dil or dharkan
Dekha tou hum dono mein fasla bhi bohut tha
Milne ki tarha hum mil na paye thy kabhi
Mera or uska rabta bhi bohut tha
Itne arsay mein bhi usay mujh par aitbaar na aaya
Yeh such hai k woh mujhe janta bhi bohut tha
Woh mil kar bhi na mil saka yeh muqadar ki baat hai
Main ne duaon mein usay manga bhi bohut tha
Ruswai k dar se woh rakh na saka mohabbat ka bharam
Lekin yeh such hai k woh mujhe chahta bhi bohut tha
Submitted By Muneer |
Be-sadaa gumbad-e-aflaak meray baad huwa
Sanyha ye bhi alamnaak meray baad huwa
Khaak hi kar diya phir khaak nashinoo mujhe
Khaak ka sara safar khaak meray baad huwa
Samnay meray jisay baat nahi aati thi
Wo bhi sunta hoon chalaak meray baad huwa
Jab meray sath tha logon se dara rehta tha
Log kehtay hain k be-baak meray baad huwa
Wo mujhe chor k khush baash nahi reh saka 'Mohsin'
Us ko bhi ye idraak meray baad huwa
Submitted By Muneer |
Mili har qadam pe rafaqat tumhari,
Kahan hum kahan yeh inayat tumhari
Humain chahiye bus ta'aluq tumhara
Muhabbat mile ya adawat tumhari
Kisi se bhi milna usey jeet lena
Bari dil nasheen hay ye aadat tumhari
Na dekha jahan mein koi aur tum sa
Bari munfarid hay tabiyat tumhari
Humein zindagi k kathan raston mein
Humesha rahe gi zarurat tumhari
Submitted By Muneer |
Kabhi uska chehra gulab huwa karta tha
Sab ki nazron ka wo khuwab huwa karta tha
Chaand sitare us k saamne maand parte thay
Wo tou khud mehtaab huwa karta tha
Lehja aesa tha jese khilti hui kali
Apni baton mein wo la-jawab huwa karta tha
Phir youn huwa usey ishq ho gaya kisi se
Muhabbat lafz jis k liye mazak huwa karta tha
Phir toot k bhikra aesa k sambhal na paya
Wo jo apni misal ap huwa karta tha
Ab tanhai k andheron mein kahin gum hai
Wo ek shakhs jo aftab huwa karta tha
Submitted By Muneer |
<<First <Previous 31 32 33 34 35 36 37 38 39 40 Next>