Ghazal SMS Page 32
Kabhi un ka naam lena, kabhi un ki baat karna
Mera zoq un ki chahat, mera shoq un pe marna
Kabhi chalte chalte thamna, aur tham k beht jana
Kabhi larkhara k girna, aur gir k phir sambhalna
Kabhi raat raat rona, kabhi din charhe sisakna
Kabhi darya darya rehna, kabhi boond boond ko tarasna
Raha ishq se hamesha koi wasta hai apna
Yehi zindagi hai apni, yehi rasta hai apna
Submitted By Muneer |
So qissay hain miltay jultay, ik majboori theek nahi
Jo kehna hai khul k keh de, baat adhori theek nahi
Koi heela, koi bahana, koi munaasib raah nikal
Mujh se aisay miltay rehna ghair zaroori theek nahi
Roz muhabbat ho jati hai chaltay phirtay logon se
Geet adhoray, khuwab adhoray, ye mazdoori theek nahi
Hum mehfil mein aaye you wo peechay ja kar beth gaye
Hum se doori achi hai par itni doori theek nahi
Submitted By Muneer |
Karb chehre se mah-o-saal ko dhoya jaye
Aaj fusat se kahin beth k roya jaye
Phir kisi nazm ki tamhid uthai jaye
Phir kisi jism ko lafzom mein samoya jaye
Kuch tou raat ki sarhad mein utarne ki saza
Garm sooraj ko samandar mein daboya jaye
Itni jaldi tou badalte nahi hon ge chehre
Gard aalood hain aaiyno ko dhoya jaye
Mout se khof ziada jeene se bezar hain log
Is almiye pe hansa jaye ya k roya jaye
Submitted By Muneer |
Jab se tera khayal hum ne kiya
Ghum se rishta bahal hum ne kiya
Kia batayen bhala zamane ko
Kaise dil ka khayal hum ne kiya
Muskurate rahe sitam seh kar
Aik ye bhi kamal hum ne kiya
Aanch aane na di koi tum par
Pyar ko lazawal hum ne kiya
Submitted By Muneer |
Likha huwa tha jo qismat mein wo mitha na sake
Hum apni zindagi mein apna usay bana na sake
Nazar k saamne darya guzar raha tha magar
Jo aag dil mein lagi thi usay bhuja na sake
Ye soch kar main ne dil ka hi khoon kar dala
K us baad koi dil mein phir sama na sake
Ajeeb rasm-e-mohabbat thi us ki mehfil mein
Labon pe aaye huey geet gunguna na sake
Tamam umer nigahen bhi hum mila na sake
Jhukaya sar tou usay phir utha na sake
Submitted By Muneer |
Juda honay k mousam mein juda hona zaroori tha
Najanay kyon kisi ka bewafa hona zaroori tha
Kisi se koi bhi shikwa na koi bhi shikayat hai
Jo mery saath chahat mein huwa, hona zaroori tha
Bohat nazdeek thay dil is liye ab dooriyan bhi hain
Dilon k darmian kuch faasla hona zaroori tha
Submitted By Muneer |
Kitni shaamein roshan hongi, kitne deep jalao gi
Pyaar ki pehli saalgirah tum kis k saath manao gi
Aakhir wo din kab aaye ga jab khalwat mein mujhse tum
Mere dil ka haal suno gi apna haal sunao gi
Farz karo gar baad-e-furqat mein tum ko mil jaon tou
Hairat mein parr jao gi ya seene se lag jao gi
Ho jao tum laakh kisi ki lekin sun lo phir bhi tum
Mujhse hi mansoob raho gi meri hi kehlao gi
Submitted By Muneer |
Khamosh raahon mein us ka saath chahiye
Tanha hai mera haath us ka haath chahiye
Mujh ko muqadar par itna yaqeen tou nahi
Us ko bhi mere lafz meri baat chahiye
Main khud apni shayari ko kiya acha kehta
Mujh ko us ki tareef usi ki daad chahiye
Ehsaas-e-muhabbat usi k wastey hai lekin
Junoon-e-ishq ko us ki har soughaat chahiye
Wo mujh ko paany ki khuwahish rakhta hay lekin
Mujhe jeene k liye us ki zaat chahiye
Submitted By Muneer |
Baaton baaton mein bicharne ka ishara kar k
Khud bhi roya wo bohut hum se kinara kar k
Sochta rehta hoon tanhai mein anjaam-e-khuloos
Phir usi jurm-e-muhabbat ko dobara kar k
Jagmaga di hein tere shehar ki galiaan main ne
Apnay har ashk ko palkon pe sitara kar k
Dekh lete hain chalo hosla apnay dil ka
Aur kuch roz tere saath guzara kar k
Aik hi shehar mein rehna magar milna nahi
Dekhte hain ye aziyat bhi gawara kar k
Submitted By Muneer |
Aqeedat aur hoti hai, murawat aur hoti hai
Muhabbat jis ko kehte hain, wo naimat aur hoti hai
Qayamat khez manzar jo hazaron hum ne dekhe hain
Jo dil pe tot'ti hai wo qayamat aur hoti hai
Maheeno'n baad milnay ki khushi apni jaga 'Mohsin'
Wo zalim jab bicharta hai tou halat aur hoti hai
Submitted By Muneer |
<<First <Previous 31 32 33 34 35 36 37 38 39 40 Next>