Ghazal SMS Page 24
Shareek-e-ghum huwa jo meray chhot khanay k baad
Kho diya main ne us panay k baad
Mujhy naaz raha raqat us amal par sada
Usnay mujhy apna mana aazmanay k baad
Suna hay tarap raha hay wo meri wafa k liye
Shayad pachta raha hay mujhy thukranay k baad
Aaj youn hi sar-e-raah us sy nazar ja mili
Wo ro diya mujh se nazar milanay k baad
Kis kis ko doun ilzaam bewafai ka
Har koi chor gaya mujh ko apnanay k baad
Submitted By Muneer |
Dhalne lagi hai shaam tere intizar mein
Ye subha kese hogi tere intizar mein
Shabnam bhi ro pari meri be-basi par aaj
Askhon se rah sajai tere intizar mein
Mera nahi yaqeen tau sitaron se poch lo
Aankhon mein shab basai hai tere intizar mein
Itna na bhoolna k mar he jaen hum
Aankhein khuli rahain gi tere intizar mein
Submitted By Muneer |
Aana hay tau khud hi chale aao
Apni tau aadat hay bulaya nahi karte
Kabhi humse khafa hone ka tasawur bhee na karna
Hum aise sitam gar hain manaya nahi karte
Jis dar pe gaye hain aik baar gaye hain
Phir laut kar kabhi us dar pe jaya nahi karte
Submitted By Muneer |
Teri aankhon k isharon ki bohat yaad aai
Aaj patt' jhar mein baharon ki bohat yaad aai
Jab larkharata hoon nikal kar meikhane se Saqi
Teri bahoon k saharon ki bohat yaad aai
Jab bhi ponchay hain aansoo mein ne hathon se
Tere daman k kinaron ki bohat yaad aai
Submitted By Muneer |
Darta hoon maut se magar marna zarur hay
Larazta hoon kafan se par pehenna zarur hay
Ho jata hoon ghumgeen janaze ko dekh k
Lekin mera janaza bhi uthna zarur hay
Hoti hay bari kapkapi qabron ko dekh kar
Muddaton andheri qabr mein rehna zarur hay
Dunya tau mere dil ko lubhaati hay subho shaam
Par such hay isko chor k jana zarur hay
Submitted By Muneer |
Rooh be-chain dil udaas bohat hay
Bujh gai hay shama-e-umeed or aas bohat hay
Ye dard-e-judai ye hijr k lamhe
Ye fiqr ka mosam mujhe raas bohat hay
Samandar k kinare bethi hoon magar phir bhi
Sokhe hein mere hont pyaas bohat hay
Diye jab gham tau kuch na socha us ne
Ujar gaye hum tau usay ehsaas bohat hay
Submitted By Muneer |
Bohut be'chain rehti hay tabiyat ek muddat se
Dil-o-jaan ko nahi mil paai rahat ek muddat se
Mujhy bhi rok rakha hay meri masrofiyat ne aur
Nahi ki tum ne bhi milnay ki zehmat ek muddat se
Bohut majboor hon warna bohut mehsoos karta hoon
Meri jaan tum se milnay ki zaroorat ek muddat se
Kisi din aa k mil jao k apna li hay aankhon ne
Tumhaari yaad mein ronay ki aadat ek muddat se
Submitted By Muneer |
Bhulanay se jo bhuley na wo kahani chor jaongi
Zamanay mein teri aankhon mein paani chor jaonga
Lipat kar dair tak dar-o-dewaar se log royenge
Main aisi sog mein lipti jawani chor jaongi
Mitao ge kahan tak tum meri yaadein meri baatein
Main har ek mor par apni nishani chor jaongi
Mery ye lafz mar k bhi mujhy merne nahi denge
Main chup ho k bhi lehjy ki rawani chor jaongi
Kuch is tarha se niklon gi teri duya ko thukra kar
Main dushman k bhi chehray par herani chor jaongi
Submitted By Muneer |
*TANHAAI*
Har raat ghum-e-tanhai, Har shaam teri yaad aai
Laakh tujhe bhulana chaha, Us se barh kar teri yaad aai
Tujh se koi umeed bhi wabasta nahi
Iss dukh se meri aankh bhar aai
Logon ne pocha ashkon ka sabab
Bus mujhe kehna para TANHAAI
Submitted By Muneer |
Main nahi hon apny wajood mein, Mujhy janay kis ne chura liya
Mere saath rehta hay ek shakhs, Koi jaadu us ne chala diya
Meri rooh mein woh sama gaya, Mujhe ishq karna sikha diya
Meri zindagi wo ban gaya, Mujhe jeena us ne sikha diya
Main tou khud se bhi tha na aashna, Mujhe mujh se us ne mila diya
Meri zindagi ko badal diya, Mujhe khush naseeb bana diya
Submitted By Muneer |
<<First <Previous 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30 Next>