Ghazal SMS Page 29



1


Nahi mumkin andheron mein chiraghon ka bhuja dena,
Bohat mushkil hay meri jaan tumhein dil sy bhula dena

Tumhein ik din sataen gay meri chahat k sub jazbe,
Meri ghazlein meri nazmein mere khat bhi jala dena

Kabhi jo yaad aaon mein tumhein fursat k lamhon mein
Haseen hathon sy kaghez par mujhe likhna, mita dena



Submitted By Muneer
2


Titlee jo ek mujhko mili thi kitaab mein
Wo apna aks chor gai mere khuwaab mein

Ab tak wo mere zehn mein uljha sawal hai
Shaamil rahi jo her ghari mere nisaab mein

Aankhon mein neend hai na koi khuwaab door tak
Rehtay hain hum bhi aaj kal waisay azaab mein

Milta hai gardishon sy galey lag k chaand bhi
Aaye thay simat k faasle kitney saraab mein

Aakhir meri wafa ka mujhe kiya sila mila
Likha na ek harf bhi us ne jawaab mein



Submitted By Muneer
3


Nighahon k samandar ka thikana chahte hain hum
Hamey tum se mohabbat hai batana chahte hain hum

Humey achi nahi lagti kisi mosum ki shadabi
Tumhein bas apni saanson mein basana chahte hain hum

Hamara ghar tau roshan hai hamarey naam se lekin
Tumhare naam se jivan sajana chahte hain hum

Humein har haal mein tum se aqidat or mohabbat hai
Tumhare paas aane ka bahana chahte hain hum.



Submitted By Muneer
4


Jab Us Ki Dhun Mein Raha Kartey Thay
Hum Bhi Chup Chaap Jia Kartey Thay

Aankhon Mein Pyaas Hua Karti Thi
Dil Mein Toofan Utha Kartey Thay

Log Aate Thay Ghazal Sun'ne
Hum Uski Baat Kiya Kartey Thay

Sach Samajhtey Thay Us K Wado Ko
Raat Din Ghar Mein Raha Kartey Thay

Kisi Veerane Mein Usey Mil Kar
Dil Mein Kiya Phool Khila Kartey Thay

Apna Ghar Sajane Ki Khaatir
Hum Uska Naam Likha Kartey Thay

Kal Usey Dekha Tau Yaad Aaya 'WASI'
Hum Bhi Kabhi Muhabbat Kia Kartey Thay



Submitted By Muneer
5


Mujhko takdeer k hathon sy mila kuch bhi nahi
Or takdeer ny mujhko diya kuch bhi nahi

Hath thamo tou sitaron ko jhuka saktey hain
Warna hathon mein lakeeron k siwa kuch bhi nahi

Iska matlab hai k majboor bohat hai wo bhi
Khaali kaghaz mujhy aaya hai likha kuch bhi nahi

Apnay har ashk mein tum mujhko munakas kar k
Ye samajhtay ho k dunya ko pata kuch bhi nahi

Teri yaadon k sahary hain zinda warna
Jivan mein or is dil mein bacha kuch bhi nahi



Submitted By Muneer
6


Yaadein hain kuch aisi us k naam se wabasta,
Har subha hai jese har shaam se wabasta

Bas us k tasawur se fursat hi nahi milti
Rehti hain us ki yaadein har saans se wabasta

Laakhon hain tamanain par ye dua hai
Bas naam rahe mera us k naam se wabasta



Submitted By Muneer
7


Roothon tau sahi gar koi manane wala ho
Karoon intizaar bhi gar koi aanay wala ho

Bari muddat se nai bheegen ye aankhein meri
Koi tau ho aisa jo rolaanay wala ho

Sab hi haal mera pooch k chalay jate hain
Hay koi jo dil mein samaanay wala ho

Khushiyan tau shayad muqaddar mein hi nahi hain
Milay ghum aisa jo galay lagaanay wala ho

Lutnay ki khuwahish mein chalay qaaflon k saath
Rehbar na mila jo qaafla lutaanay wala ho



Submitted By Muneer
8


Kahaniyan na suno aas paas logon ki
K mera shehar hay basti udaas logon ki

Muhabbaton ka safar khatam hi nahi hota
Humein tou dosti aey na raas logon ki

Humein apnay yaad aatey hain
Chalay jo baat kabhi khaas khaas logon ki

Main aanay walay zamanay se dar raha hoon "Mohsin"
K main ne dekhi hain aankhein udaas logon ki



Submitted By Muneer
9


Ashko'n ki zuban woh kabhi pehchan na paya
Da'awa tha parkhne ka magar jan na paya

Aaye tou bohat log mere dil mein bhi lekin
Tujhsa kabhi dil ne koi mehmaan na paya

Suntay hain k ik hashar uttha deti hay chahat
Hum ne tou kahee'n bhi koi tofaan na paya

Su dukh mein bhi chehre pe tabassum ki lakeerein
Iss tar'ha ka main ne kabhi insaan na paya

Main phir bhi jalata ho'on charagho'n ko sehar tak
Aane ka tere koi bhi imkaan na paya

Dunya k sitam sehte bhi daikha tujhe Qesar
Chehre ko kabhi bhi tere veeraan na paya



Submitted By Muneer
10


Ye zehmat bhi tou rafta rafta rehmat ho hi jati hay
Musalsal gham se gham sehny ki aadat ho hi jati hay

Maseeha ho agar tum sa zarurat kya hai marham ki
K kanton se bhi zakhmon ki jarahat ho hi jati hay

Ta'aluq jin se ho un par gila aaya hi karta hai
Muhabbat jin se ho un se shikayat ho hi jati hay



Submitted By Muneer


<<First     <Previous     21   22   23   24   25   26   27   28   29   30     Next>

Newer Post Older Post