Ghazal SMS Page 20



1


(Hum yaad tou tum ko atey hongay)
(Jab pachi geet sunatay hongay)

(Jab sawan ki rut aati hogi)
(Jab phool khushboo mehkatay hongay)

(Jab peelay patay girtey hongay)
(Jab judai k dard satatay hongay)

(Jab dosti kisi se hoti hogi)
(Jab dost bichar k jate hongay)

(( Hum Yaad Tou Tum Ko Atey Hongay ))



Submitted By Muneer
2


Muhabbat ka dhuwan aankhon mein pani chor jata hay
Kisi raste se ghum guzre nishani chor jata hay

Humari guftugo se bhi wo qae'yl nahi hota
Or apni khamoshi k bhi ma'ani chor jata hay

Bharosa jis pe ho uss se tawaqo koi mat rakhna
Yehi ik sa'eban be-saa'ebani chor jata hay

Bichar kar bhi hum aise shakhs se bichra nahi karte
Jo ek fiqra ada kar k kahani chor jata hay

Ghalib mout bhi koi kam khubsurat nahi hogi
Jo is ko dekhta hay zindagi chor jata hay



Submitted By Muneer
3


Har kisi ko dunia mein shohratein nahi milti
Zindagi k lamhon ki qeematein nahi milti

Fatah ki khuwahish mein aamal bhi tou lazim hay
Sirf kuch iradon se qismatein nahi milti

Faislay ye chahat k aasmano pe hote hain
Do dilo k milne se qismatein nahi milti

Deen or dunia ko saath rakhna parhta hay
Masjidon mein rehne se jannatein nahi milti

Mana k is zamanay mein or bhi hein hum jesy
Magar har kisi se hum jesi chahatein nahi milti



Submitted By Muneer
4


Harf-e-ranjish pe koi baat bhi ho sakti hay
Ain mumkin hay mulaqat bhi ho sakti hay

Zindagi phool hay khushbu hay magar yaad rahay
Zindagi gardash-e-halaat bhi ho sakti hay

Hum ne ye soch k rakha tha qadam gulshan mein
Lala-o-gul mein teri zaat bhi ho sakti hay

Chaal chaltay huway shatranj ki baazi k usool
Bhool jao gay tou phir maat bhi ho sakti hay

Aik tou chatt k bina ghar hay hamara Mohsin
Aur ye khauf k Barsaat bhi ho sakti hay



Submitted By Muneer
5


Tumhari anjuman se uth k diwanay kahan jaty
Jo wabasta huway tum se wo afsanay kahan jaty

Nikal k dair-o-kaba se agar milta na maekhana
To thukraey huway insaan khuda jany kahan jaty

Tumhari be-rukhi ne laaj rakh li badakhano ki
Tum aankhon se pila dety tou pemany kahan jaty

Chalo acha huwa kaam agai deewangi apni
Wagarna hum zamany bhar ko samhany kahan jaty

Qateel apna muqqadar ghum se begana agar hota
Tou phir apne praey hum se pehchany kahan jaty



Submitted By Muneer
6


Hum ne ulfat ka bharam sub se juda rakha hai
Goya seenay mein tujhy dil ki jagah rakha hai

Dil ye chahe k tu kabhi badnaam na ho
Dekh zikr tera hai magar naam chupa rakha hai

Mere jis haath se kiya tha tu ne musafa
Dhoya hi nahi honton se laga rakha hai

Ab main samjha tere rukhsaar pe til ka matlab
Doulat-e-husn pe darban bitha rakha hai

Juda ho gaye hain tou phir kiya hua Sahil
Teri tasveer ko seenay mein saja rakha hai



Submitted By Muneer
7


Aaj phir mujh ko uski yaad dil di barish ne
Dil mein jo bhool ki aag thi bujha di barish ne

Main tanha thi apne ghar mein zamany se alag
Magar ghar ki deewar gira di barish ne

Uss k zikr se ho gae meri aankhen nam
Magar doston, meri ye saari baat chupa di barsish ne

Suna hai woh bhi roya hai aaj bohut
Lagta hai unko bhi meri yaad dila di barish ne

Wo bewafa hoye tou phir kia howa
Aaj mere saath ro kar wafa nibhi di barish ne



Submitted By Muneer
8


Teri chahat mein guzarti meri her shaam hai
Mere dil se nikli hui her dua tere naam hai

Ab mujhko ilzaam na do bewafai ka
Mere haathon ki lakeeron mein wafa aam hai

Qadar poucho us se jo karte hein mohabbat ki pooja
Sirf tere shehar mein mohabbat meri badnaam hai

Apni jaan ka nazrana kese karte paish tujhko
Tere ishq mein her saans jo meri neelaam hai

Kese chhor den tanha zindagi k safar mein
Tere bagair tou meri zindagi gumnaam hai



Submitted By Muneer
9


Be-basi Be-kali Be-khudi de gaya
Kuch naye tajurbay, ajnabi de gaya

Sochne k liye pal ki muhlat na di
Jagnay k liye ik sadi de gaya

Lay gaya jaan-o-dil, jism se kainch kar
Haan magar, rooh ki tazgi de gaya

Uss k aanay se har ik kami mitt gai
Jaate jaate woh apni kami de gaya

Uss ki sodagari Mein be-insaaf tha
Zindagi de gaya, Zindagi le gaya



Submitted By Muneer
10


Apny dil ki halat wo kisi ko dikhata na tha
Usey kya ghum tha wo kisi ko batata na tha

Khizan ka mousam jab se uska naseeb hy thehra
Usey jab se koi aur mousam bhata na tha

Logon ko hansanay k wastay zindagi bita di us ne
Kitna ajeeb tha wo shakhs khud muskurata na tha

Jany kis k intizaar mein betha raha subh-o-sham
Misl-e-morat bana wo palk bhi jhapkata na tha
Aaj reh reh kar yaad aya wo
Jo dua de kar bhi dua batata na tha



Submitted By Muneer


<Previous     11   12   13   14   15   16   17   18   19   20     Next>

Newer Post Older Post