Ghazal SMS Page 17
"Saahil pe pare ek bhi gohar mein nahi tha"
"Jo chahiye tha mujh ko, samundar mein nahi tha"
"Woh shakhs tou aaya tha sakhi jaan ke mujh ko"
"Par dene ko kuch bhi tou mere ghar mein nahi tha"
"Tanhai mein pahuncha hay mujhe jis qadar aaram"
"Duniya ke kisi phoolon ke bistar mein nahi tha"
Submitted By Muneer |
Hum par nafraton k teer barsate kyun ho
Saath raqibon k mil satate kyun ho
Do qadam saath chal k tanha chor dene walo
Phir saath jeene marne ki qasmein khate kyun ho
Jin ko sirf tumhare husn se gharz hoti hay
Un k naz nakhre phir tum uthate kyun ho
Mohabbat ki aar mein badnam karte hain jo tumhein
Un ki dobti naao ko kinare lagate kyun ho
Khud dobna hay tou auron ko bhi le dobo
Tan tanha apni zindagi kadiya bujhate kyun ho
Wahshion k des mein wafa kab milti hay
Apni qismat ko har bar aazmate kyun ho
Jin ko izzat ki zindagi raas nahi yaaro
Un ki khatir tum apni hasti ko mitate kyun ho
Submitted By Muneer |
Zakham muskurate hain ab bhi teri ahatt par
Dard bhool jate hain ab bhi teri ahatt par
Shabnami sitaron par phool khilne lagte hain
Chaand musturate hain ab bhi teri ahatt par
Umar kaat di lekin bachpana nahi jata
Hum diya jalate hain ab bhi teri ahatt par
Teri yaad aye tou neend jati rehti hai
Hum khushi manate hain ab bhi teri ahatt par
Ab bhi teri ahatt par chaand muskurata hai
Khuwaab khushi manate hain ab bhi teri ahatt par
Teri hijr mein hum par ek azab tari hai
Chonk chonk jate hain ab bhi teri ahatt par
Ab bhi teri ahatt par laut ati hai
Ashq hum bhaate hain ab bhi teri ahatt par
Submitted By Muneer |
Jhoom k gaon main sharabi hon
Raqs farmao main sharabi hon
Ek sajda baname khana
Dosto aao main sharabi hon
Log kehte hain raat beet chuki
Mujh ko samjhao main sharabi hon
Aaj in reshmi ghataon ko
Yun na bikhrao main sharabi hon
Haadse roz hote rehte hain
Bhool bhi jao main sharabi hon
Mujh pe zaahir hain ap ka batin
Moun na khulwao main sharabi hon
Submitted By Muneer |
Dil mein ko rehta hay naam poochte hain log
Chor kar chala gaya mujh ko akela shehar mein
Kitne mein bik gaya daam poochte hain log
Main sungdil tha ya woh harjai
Ik yehi baat sar-e-aam poochte hain log
Kal kiya hoga mujhe khud khabar nahi
Meri mohabbat ka anjaam poochte hain log
Submitted By Muneer |
Bohut khaamosh reh kar jo sazaein mujh ko deta tha
Barrey khaamosh lehjey mein sadaein mujh ko deta tha
Kabhi jo dard ki aatish mujhe sulghaaney lagti thi
Wo apni saans ki mehki hawaein mujh ko deta tha
Usay main ajnabi samjha magar har morr par 'Mohsin'
Wo apne naam ki sari duaein mujh ko deta tha
Submitted By Muneer |
Hum teri yaad kay pinjray mein qayed panchi
Urna chahein bhi tou ye soch kar urr nahi patay
Bahir tanhai ki hawa hogi, Be'rehm waqt ki fiza hogi
Kon dalay ga teray payar ka dana hum ko
Tujh se milnay ka milay ga na bahana hum ko
Din kahan guzre ga, Uski tou khabar hi nahi
Kaisay guzrey gi raat apni to koi ghar bhi nahi
Bas yehi soch kar khud ko samjhatay hain aksar
Teri yaadon se hi dil ko behlate hain aksar
Hum teri yaad kay Pinjray mein qayed panchi
Submitted By Muneer |
Aaj bhi tere liye dil mein chahatein baqi hain
Tujh se jo karni thi wo batein baqi hain
Kesay soch liya tum ne humain teri talab nahi
Dil mein utar k dekh ab bhi teri aarzoain baqi hain
Kabhi fursat milay tou aa kar dekh meray makan mein
Aaj bhi teri khushboo,
teri parchaiyan,
teri ranaiyan,
teri sargoshian,
teri chahatein,
teri aahatein baqi hain
Dekh mera zarf k main toot kar bhi bikhra nahi
Aankh mein aansu hein magar lab par muskurahatein baqi hain
Submitted By Muneer |
Wo Tittli Thi Ose Urr Jana Tha
Us Ne Mere Haath Mein Kab Aana Tha
Main Dhoondta Raha Ose Deewano Ki Tarha
Us Ki Koi Manzil Na Koi Tikhana Tha
Is Gharz Se Us Ne Mera Haath Nahi Thama
Kion K Raaste Mein Us Ne Chor Jana Tha
Us Ne Aansu Bhi Bohat Bahaye Lekin
Baad Mein Pata Chala Ye Sub Bahana Tha
Meri Deewangi Tu Hud Se Guzer Gai Magar
Us K Liye tu Mehz ye Dil Lagana Tha
Qasoor Us Ka Nahi Is Mein Koi Mohsin
Khata Tu Apni Thi Main Hi Zara Deewana Tha
Submitted By Muneer |
Tum khafa kyun ho?
Tumhen mujh se gila kiya hay
Achanak beRukhi itni
Batao tou howa kiya hay
Manaawon kis tarha tum ko
Mujhe itna tou batla do
Agar ab ho sake tum se
Tou ye ihsaan farma do
Meri manzil mohabbat hay
Mujhe manzil pe pohcha do
Tumhari aankh mein aansu
Mujhey achay nahi lagtay
Tumharey narm honton par
Gilay achay nahi lagtay
Tumhare muskuranay se
Mera dil muskurata hay
Tumharay rooth jane se
Mera dil toot jata hay
Submitted By Muneer |
<Previous 11 12 13 14 15 16 17 18 19 20 Next>