Ghazal SMS Page 21
'Woh aksar fursat mein ek kaam karte hain'
'Bana k aaina humein salam karte hain'
'Uski piyaari adaa'en usse ruswa na kar den'
'Woh likh k darakhton pe mera naam aam karte hain'
'Uss k mathay se ubharta hai subha ka noor'
'Aur andhere uski zulfon mein araam karte hain'
'Aankhon se wardatein karna hai paisha unka'
'Dilon ki choriyan woh sar-e-aam karte hain'
'Zamana tera hi talabgar sahi lekin'
'Kuch husn wale hamara bhi ehtraam karte hain'
Submitted By Muneer |
"SOCH LENA" Soch samajh lena qadam uthanay se pehle
Kahin gir na jao manzil aanay se pehle
Ye aandhian bari berehm huwa karti hain
Ye soch lena koi diya jalanay se pehle
Apne aangan ko pholoon se sajaye rakhna
Phool sarey chun lena khizan aanay se pehle
Tumhare seeny mein bhi ik dil dharakta hai
Ye soch lena kisi ka dil dukhanay se pehle
Umar bhar kon kisi k liye rota hai Saqi
Log aansou bahatay hain dafnanay se pehle
Submitted By Muneer |
Wo jo daaway dar hain shehar mein k main sub ka nabz-shanas hoon
Kabhi mujhse aa k poochta hai k main kis k gham mein udaas hoon
Ye meri kitab-e-hayat hai isay dil ki aankh se parh zara
Main warq warq tere saamny tere ru-ba-ru tere paas hoon
Ye teri umeed ko kiya hua kabhi tu ne ghor nahi kiya
Kisi shaam tu ne kaha tou tha teri saans hoon teri aas hoon
Ye teri judai ka gham nahi ye silsilay tou hain roz kay
Teri zaat iss ka sabab nahi main bohut dinon se udaas hoon
Submitted By Muneer |
Tum ne tou keh dia mohabbat nahi mili
Mujh ko tou ye bhi kehnay ki mohlat nahi mili
Neendon k dys jaty koi khuwaab dekhay
Lekin diya jalanay se fursat nahi mili
Tujh ko khair shehar k logon ka khauf tha
Or mujh ko apne ghar se ijazat nahi mili
Phir ikhtilaaf-e-raye ki sorat nikal pari
Apni yahan kisi se bhi aadat nahi mili
Bezaar youn huway k tere ehad mein humain
Sub kuch mila sakoon ki daulat nahi mili
Submitted By Muneer |
Ye chubban akailay pan ki, Ye lagan udaas shab se
Main hawa se larr raha hon, Tujhe kiya bataon kab se
Ye saher ki sazishen theen, K ye inteqaam-e-shab tha?
Mujhe zindagi ka suraj na bacha saka ghazab se
Tere naam se shafa ho, Koi zakham wo ataa kar
Mere naama-e-bar milay tou, Usey kehna ye adab se
Wo jawan rutoon ki shamein, Kahan kho gayi hain 'Sagar'
Main tou bujh k reh gaya hon, Tou bichar gaya jab se
Submitted By Muneer |
Adhori si hay zindagi adhoray hain hum
Bujh rahi hein saansen jal rahay hum
Badaltay mousamon nay sikhaya hay bohut kuch lekin
Panay ki hasrat mein sab kuch khoo rahay hain hum
Na maloom manzilon par qadam ruk say gaye hein
Bheer mein raaston ki taraf barh rahay hain hum
Toot kar bikhray hein khuwaab kuch is tarha
K ik arsa hua hay un ko chun rahay hain hum
Wafa hum nay ki un say ya ki bewafai
Bas us ki saza bhugat rahay hain hum
Submitted By Muneer |
Zindagi ka sochta hoon na zamane ka sochta hoon
Main tou bas usse apna banane ka sochta hoon
Uss k rooth jane k andaz ki qasam
Woh rooth jaey tou manane ka sochta hoon
Uss ne na ki wafa tou koi gila nahi
Main uss se wafain nibhane ka sochta hoon
Wo mujh ko rulaaye tou koi baat nahi Faraz
Main ro kar bhi usse hansaane ka sochta hoon
Submitted By Muneer |
Ek saza aur aseron ko suna di jaye
Yani ab jurm-e-aseri ki saza di jaye
Uski khuwahish hy k ab log na royen na hansen
Behisi waqt ki aawaaz bana di jaye
Dasht-e-na-deeda ki tehqeeq zarori hay magar
Pehly jo aag lagi hay wo bhuja di jaye
Sirf jalana hi nahi humko bhi dikhana bhi tou hay
Ishq ki aag ko lazim hay hawa di jaye
Sirf suraj ka nakalna hay agar subha tou phir
Ek shab aur meri shab se mila di jaye
Aur ek taza sitam usnay kiya ejaad
Usko is baar zara khul k dua di jaye
Submitted By Muneer |
Jab uski dhun mein raha kartey thay
Hum bhi chup chaap jia kartey thay
Aankhon mein pyaas huwa karti thi
Dil mein tufaan utha kartey thay
Log ate thay ghazal sun'ne
Hum uski baat kia kartey thay
Sach samajhtay thay us k wadon ko
Raat din ghar mein raha kartey thay
Kisi virane mein usse milkar
Dil mein kia phool khila kartey thay
Apna ghar sajane ki khatir
Hum uska naam likha kartey thay
Kal usse dekha tou yaad aayaa
Hum bhi kabhi mohabbat kia kartey thay
Submitted By Muneer |
Hum nazuk nazuk dil walay bas aise hi tou hote hain
Kabhi hanste hain kabhi rote hain, kabhi dil mein khuwab pirotay hain
Kabhi mehfil mehfil phirte hain kabhi zaat mein tanha hotay hain
Kabhi chup ki muhar sajate hain kabhi geet labon par late hain
Kabhi sub ka dil behlate hain kabhi khud mein tanha hote hain
Kabhi shab bhar jagte rehte hain kabhi lambi taan k sote hain
'Hum nazuk nazuk dil wale bas kuch aise hi tou hote hain'
Submitted By Muneer |
<<First <Previous 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30 Next>