Ghazal SMS Page 26
Meri tashnagi ka khayal kar, Main udaas hoon mere paas aa
Meri bebasi ka malal kar, Main udaas hoon mere paas aa
Ye tere sitam, ye tere karam, Mujhe day gaye zoq-e-juno
Mera jeena youn na mahal kar, Main udaas hoon mere paas aa
Mera zard chehra hay kisliye, Hay ye dil udaas kis liye
Na tu mujh say aisay sawal kar, Main udaas hoon mere paas aa
Submitted By Muneer |
Reza-e-kaanch ki soorat mein bikhar jata hoon
Main teri yaad mein jab had se guzar jata hoon
Ab gurezaan hay wo milne se jo kehta tha kabhi
Tum se milte hi main kuch aur nikhar jata hoon
Roz khata hoon tujhe yaad na karne ki qasam
Roz wado se main apne hi mukar jata hoon
Mujhko tamasha bana diya hay muhabbat ne teri
Log kaste hain aawazein Main jidhar jata hoon
Har gaam pe khaya hay mohabbat ka dhoka
Ab koi piyaar se bulata hay tou dar jata hoon
Submitted By Muneer |
Agar kaho tou haal dil sunaaon tumko
Tamaam umar saamne bithaaon tumko
Mere zakhmon ka haal poocho ager jaan-e-jaan
Tou ek ek zakhm ki tafseel sunaaon tumko
Mout ki neen se bhi gehri ek neend hoti hai
Tere baazoun ka ho takya tou dikhaaon tumko
Yehi dua hai k wo waqt aaye ek baar phir
Tum jo rootho tou haath jor kar manaaon tumko
Har shakhs mein mujhe ek raqeeb nazar aata hai
Bol ae mere hum nawa kis kis ki nazar se bachaaon tumko
Submitted By Muneer |
Zakham muskurate hain ab bhi teri aahat par
Dard bhool jaate hain ab bhi teri aahat par
Shabnami sitaron mein phool khilne lagte hain
Chaand muskurata hai ab bhi teri aahat par
Umer kat gayi hai magar bachpana nahi jata
Hum diye jalate hain ab bhi teri aahat par
Ghantiyan si bajti hain raqs hone lagta hai
Dard jagmagaate hain ab bhi teri aahat par
Teri yaad aaye tou neend jaati rehti hai
Khuwab toot jaate hain ab bhi teri aahat par
Submitted By Muneer |
Raah-e-wafa mein sazaaon ko kon dekhega,
Safar hay dhoop ka chaaon ko kon dekhega
Hum apni zid pe aaye tou cheen lenge usay,
Us k sheher ki lambi diwaaron ko kon dekhega
Uski bazm k hum wo chiraagh hein jana,
K jab jale tou hawaaoon ko kon dekhega
Bicher tou jayen magar phir khayaal aata hay
Uski in dilkash adaaon ko kon dekhega
Submitted By Muneer |
Lafz-e-mohabbat se bhi nafrat thi kabhi hum ko lekin
Majboor huwa dil teri kuch adaayen aisi bhi theen
Bhool kar bhi bhula na paaye hum tujhe
Dil mein basi teri kuch wafaayen aisi bhi theen
Jalta raha dil Shaam-o-saher
Teri mohabbat se haasil humein kuch sazaayen aisi bhi theen
Bujh gaya tujhse wabasta meri umeed ka diya
Tere shehar se aanay wali kuch hawaayen aisi bhi theen
Submitted By Muneer |
Baylos muhabbat ka sila you na diya kar
Apno ko tou nazdeek se pehchaan liya kar
Har lamha na apni taraf dekh k khush ho
Auron ki bhi takleef ka ehsaas kiya kar
Ujray huway logon se gureza na huwa kar
Halaat ki qabro k ye kutbay bhi parha kar
Har waqt ka hansna tujhe barbaad na karde
Tanhai k lamhon mein kabhi lo bhi liya kar
Apnay hi shabo roz mein abad raha kar
Hum log buray log hain hum se na mila kar
A dil tujhe dushman ki bhi pehchaan kahan hay
Tu halqa-e-yara mein bhi mohtaat raha kar
Wo aaj bhi sadyon ki musafat pe khara hay
Dhonda tha jisay waqt ki diwaar gira kar
Submitted By Muneer |
Apne labon ko dushman-e-izhar mat bana
Sachey hein jo unhein gunahgaar mata bana
Jitney bhi lafz hein wo mehktey gulaab hein
Lehjay k farq se unhein talwaar mat bana
Ilzaam kuch tou gardish-e-ayam ko bhi de
Apne har ek ghum ko ghum-e-yaar mat bana
Har ek k liye khula mat rakh isey Qateel
Yeh dil ek ghar hay isey bazar mat bana
Submitted By Muneer |
Sabhi ashk aankhon mein aa gaye, Na chupa sake na bata sake
Wo jo bhed tha wo khul gaya, Koi baat bhi na chupa sake
Na wafa rahi, na jafa rahi, na wo dil raha, na hum rahe
Us ki yaad ka jo charagh tha, Na jala sake na bhuja sake
Koi zor khud pe raha nahi, Koi bus bhi us pe chala nahi
Usey dekhty rahe door tak, Magar haath tak na hila sake
Nahi is mein us ki khata koi, Na naseeb ka koi dosh tha
Ye hamara apna mizaaj tha, K kisi tarha na nibha sake
Submitted By Muneer |
Hum dasht k baasi hein ay shehar k logo
Ye rooh pyaasi humein wirsey mein mili hay
Dukh dard se sadyon ka ta'aluk hay hamara
Aankhon ki udaasi humein wirsey mein mili hay
Jaan dena riwayat hay qabiley ki hamari
Ye surkh libaasi humein wirsey mein mili hay
Jo baat bhi kehty hein utar jati hay dil mein
Taseer juda si humein wirsey mein mili hay
Jo hath bhi thama hay sada sath raha hay
Ahbaab shanasi humein wirsey mein mili hay
Submitted By Muneer |
<<First <Previous 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30 Next>