Ghazal SMS Page 28



1


Behkay huey sare-aam bari dair ho gai,
Saqi pila de jaam bari dair ho gai

Kabhi hum pe bhi waqt tha pitay pilatay thay,
Ab choray huey ye kaam bari dair ho gai

Kesy bhula don tujh ko saahil ki rait par,
Likhtay huey tera naam bari dair ho gai

Kiya bataen manzar sooraj k doobney ka,
Dekhay hoey koi shaam bari dair ho gai

Ehbaab ne meri minnaten hazaar ki,
Pee lijiye janaab bari dair ho gai

Dekhay mery gunah to farishtay pukaar uthay,
Bohut ho gaya hisaab bari dair ho gai

Chalo SAGAR ajj un k kochay mein chalen,
Un k kiye salaam bari dair ho gai



Submitted By Muneer
2


Kisi toofaan mein jaise kinara yaad aata hay
Mujhe tanhai mein chehra tumhara yaad aata hay

Suna hay us k honton se tabs'um rooth jata hay
Suna hay us ko bhi ghar humara yaad aata hay

Hamaray roz-o-shab ka ye tasalsul kis tarha tootey
Usey jab bhooltey hain wo dobara yaad aata hay



Submitted By Muneer
3


Gham-e-jana gham-e-doran say juda rakhtay thay
Hum mohabbat k fasano pay hansa kartay thay

Khudsari itni k khud ko hi samajhtay thay sab kuch
Bay-hissi aisi k dil torr diya kartay thay

Hum jo ruktay thay tu ruk jatay thay manzar saray
Hum jo chaltay thay tu mausam bhi chala kartay thay

Jab say dekha hai tujhay thaam k dil baithay hein
Ban gaye mom kabhi shola huwa kartay thay



Submitted By Muneer
4


Khiltay huey har rang say ho jis ki adawat
Us haath pay Mehndi ko rachaon bhi tau kesy

Jis aankh ne dekha hi na ho rang-e-muhabbat
Us aankh mein khuwabon ko sajaon bhi tau kesy

Maloom hay din raat wo rota hay musalsal
Per door say ashkon ko churaon bhi tau kesy

Jis aas ne tora ho meri soch ka sheesha
Us aas say phir aas lagaon bhi tau kesy



Submitted By Muneer
5


Ab waqt-e-judai hay mujhe ab alvida keh do
Ab phir wo tanhai hay mujhe ab alvida keh do

Main laakh bura tehra hoon doston ki nazar mein
Dil ro tau raha hay magar mujhe ab alvida keh do

Mere aansoun tau mere hain meri khushiyan tumhari hain
Mubbarak tumko ye khushiyan mujhe ab alvida keh do

Mere jaane per na rona mujhe tum yaad na karna
Main tanha tha, main tanha hoon, mujhe ab alvida keh do



Submitted By Muneer
6


Tujhe ruswai ka darr hai, na aaya kar
Bicher jana hi behtar hai, na aaya kar

Kisi shaadaab kooche mein basa khud ko
Ye dil ujra hua ghar hai, na aaya kar

Guzar ja aayine jaisa badan le kar
Yahan har aankh pathar hai, na aaya kar

Mera dukh tum ko bhi ik din dabo de ga
Bohat gehra samandar hai, na aaya kar



Submitted By Muneer
7


Apni yaadein, apni baatein le kar jana bhool gaya
Jaane wala jaldi mein tha, mill kar jana bhool gaya

Mur mur kar dekha tha usne jaate raste mein
Jese usne kehna tha kuch, jo wo kehna bhool gaya

Waqt-e-rukhsat meri aankhein ponch raha tha aanchal se
usko ghum tha itna ziyada, khud wo rona bhool gaya



Submitted By Muneer
8


Wo ojhal meri nigahon se kahan rehta hay
Wo ashk ban kar aankhon se rawan rehta hay

Kisi lamhay tanha honay nahi deti uski yaadein
Mere aangan mein melay ka samaan rehta hay

Har ghari dil ka daricha khula rakhtay hain
Har ghari us k aaney ka gumaan rehta hay

Log kehtay hain zakham bhar jatey hain aakhir
Zakham bhar jatey hain lekin nishaan rehta hay

Wo miley tou itna bata dena usko
Tujh bin tera ik shakhs preshaan rehta hay



Submitted By Muneer
9


Wo Muhabbat Say Khafa Hai Mujhey Maloom Na Tha
Ishq Us Say Na-Rawa Hai Mujhey Maloom Na Tha

Wo Bicharne Laga Mujh Say Tou Anaa Toot Gai
Rooth Jana Hi Adaa Hay Mujhey Maloom Na Tha

Subha Honey Pe Bhi Aankhon Say Andhera Na Gaya
Raat Sooraj Say Khafa Hay Mujhey Maloom Na Tha

Rooth Janey Pe Manana Usay Aata Hi Nahi
Ye Bhi Meri Hi Khata Hay Mujhey Maloom Na Tha

Zindagi Jurm-e-Anasar Hai Zamanay Mein
Saans Lena Bhi Saza Hay Mujhey Maloom Na Tha



Submitted By Muneer
10


Kabhi teri rafaaqat se nikalna hi nahi mumkin
Kabhi daaman chura lena bohat aasaan lagta hay

Kabhi tum rooth'te ho tau ajab mushkil si parti hay
Kabhi tum ko mana lena bohat aasaan lagta hay

Kabhi samjha karo kuch faisle halaat karte hain
Kabhi waada nibha lena bohat aasaan lagta hay

Kabhi kuch din tumhare bin guzarte hi nahi lekin
Kabhi muddat bita lena bohat aasaan lagta hay



Submitted By Muneer


<<First     <Previous     21   22   23   24   25   26   27   28   29   30     Next>

Newer Post Older Post