Ghazal SMS Page 27



1


Muhabbat ka dhuwan aankhon mein paani chor jata hay
Kisi raste se ghum guzre nishani chor jata hay

Hamari guftagu se bhi wo qayil nahi hota
Or apni khamoshi k bhi ma'ni chor jata hay

Bharosa jis pe ho us se tawaqoo koi mat rakhna
Yehi 1 saibaan be-saibaani chor jata hay

Bichar kar bhi hum ayse shakhs se bichra nahi karte
Jo 1 fiqra ada kar k kahani chor jata hay

Wasi' mout bhi kam khobsoorat tou nahi hogi
Jo us ko dekhta hay zindagi chor jata hay



Submitted By Muneer
2


Apni baaton mein merey naam k hawaley rakhna
Mujh sy bichrey ho tou khud ko sabmbhaley rakhna

Log pochein gay kyun preshan ho tum
Kuch nigahon se kehna zubaan pe taaley rakhna

Na khoney dena merey beetay lamhon ko
Meri yaadon ko baray payar sy sambhaley rakhna

Main loat aaonga itna yaqeen hay mujh ko
Tum meri yaad ki shama jalaye rakhna



Submitted By Muneer
3


Is shehar k logo ki ya aadat purani lagti hay
Kisi k jazbaton se khelna in ko nadani lagti hay

Jidhar dekho ek gham ka aalam milta hay
Har diwaane ki dastan kuch apni kahani lagti hay

Wo kya jane mohabbat ek nemat hay yaro
Jinko logon ki sirf surat hi suhani lagti hay

Hain tutey kuch jazbaat k mehel aisey
Gulshan ko bhi dekho tou verani lagti hay

karta hay shayad yaad wo ab bhi humein yaro
Ye dil ka dharakna is baat ki nishani lagti hay



Submitted By Muneer
4


Humko loota hay usi shehar ne ay jaan-e-wafa
Jis ki galion mein mohabbat ka kuch hisab na tha

Woh jo rehtay they mere saath hamesha din bhar
Unke mazhab mein wafaon ka koi baab na tha

Wo jo aankhon mein mohabbat ko liye phirte they
Unke dil mein thee wo nafrat k kuch hisab na tha

Main ne jis ko bhi museebat mein maseeha jana
Jo dia usne bara us se kuch azaab na tha

Mujhy khayal tha ye log mere apne hain
Magar wahan pe tou aisa koi rewaaj na tha



Submitted By Muneer
5


Yaad-e-maazi mein jo aankhon ko saza di jaye
Is se behtar hay k har baat bhula di jaye

Jis se thori si bhi umeed ziada ho kabhi
Aisi har shama sar-e-shaam jala di jaye

Main ne apnon k rawayoun se ye mehsoos kiya
Dil k aangan mein bhi diwaar utha di jaye

Main ne yaron k bicherne se ye seekha Sehar
Apny dushman ko bhi jeene ki dua di jaye



Submitted By Muneer
6


Hai yaad mulaqat ki wo shaam abhi tak
Main tujh ko bhulane mein hoon nakam abhi tak

Aa tujh ko dikhaon k tere baad sitamgar
Weeran pare hain ye dar-o-baam abhi tak

Gar tark-e-taaluq ko hua ek zamana
Honton pe machalti hai tera naam abhi tak

Mehsoos ye hota hai k wo hum se khafa hain
Kiya tark-e-muhabbat ka hai elzaam abhi tak

Maikhane mein bhooley se chaley aaye thay Mohsin
Ahbab ki nazron mein hain badnam abhi tak



Submitted By Muneer
7


Paani ki lehro'n pe harf-e-bayaan likhna chor do
Saahil pe rait k kachay makan banana chor do

Chaaho tou be-sabab chaaho humain warna
Meri mano tou chahat k asbaab banana chor do

Zamana naam hay mushkilo'n or nafrato'n ka
Mere liye zamana ya mujhy zamanay k liye chor do

Hosla tou bohat deti hay muhabbat bhi nafrat bhi 'Wasi'
Mujhy paanay ki koshish tou karo chahay haasil kar k chor do



Submitted By Muneer
8


Log har mor pe ruk ruk k sambhalty kyon hain
Itna dartay hain to phir ghar se nikaltay kyon hain

Main na koi jugno hon na diya na chaand,
Phir roshni wale mere naam se jaltay kyon hain

Jub neend se mera ta'aluq hi nahi barson se
Khuwaab aa aa k meri palkon pe tehltay kyon hain

Is mein mousam ka qasoor hay ya logon ka Ahsan
Log mousam ki tarha pal bhar mein badaltay kyon hain?



Submitted By Muneer
9


Kis ko raaton ko jagao gay mere baad
Kahan ja k jee behlao gay mere baad

Ab tou dekh k mujhe chup jaate ho
Phir kis ko ye naaz dikhao gay mere baad

Kon lagaye ga apni bahon ka takiya
Khud ko kis tarha sulao gay mere baad

Is tarha pyaar se kon bulaye gi tum ko
Meri chahat ko kaise bhulao gay mere baad

Dhundne se bhi na milon gi phir tum ko
Chup chup k ashk bahao gay mere baad

Sar rakh k zameen ki goad mein so jaon gi jab
Dost phir kisey banao gay mere baad



Submitted By Muneer
10


Wo ik shakhs jo hamain zindagi sy peyara hay
Baghair us k viraan ye jahan sara hay

Wo nahi janta k us ki zaat kiya hay
Wohi tou hay jo muhabbat ka ik sitara hay

Nahi milta tou dil ki halat ajeeb hoti hay
K is mein mera nahi dil ka kasoor sara hay

Wo apni sub baton ko chup chup k beyan karta hay
Yehi tou ada hay jis ny hamain mara hay

Wo kya tha, kya hay, kya hoga, kya khabar?
Yehi pata hay k wo jesa bhi hay bus hamara hay



Submitted By Muneer


<<First     <Previous     21   22   23   24   25   26   27   28   29   30     Next>

Newer Post Older Post