Ghazal SMS Page 10



1


Dunia se mujhy pyar tha sub bhool chuka hon,
1 Shakhs mera yar tha sub bhool chuka hon

Bakhshi hai mujhay pyar ke badle mein bewafai,
Jo bhi tera kirdar tha sub bhool chuka hon

Bus itna mujhay yad hai ik wasal ki shab thi,
Iqrar tha inkar tha sub bhool chuka hon

Haan meri khata thi tujhay toot ke chaha,
Haan main he gunerhgar tha sub bhool chuka hon

Ik shakhs ne pagal sa bana rakha tha "SAHIL"
Main kitna samajh dar tha sub bhool chuka hon.



Submitted By Muneer
2


Mujhy kisi k tasawur mein doob jany do,
Bohat nahin thora sa hi jal jany do

Janta hon mahabbat nahin mujh se usy
Magar main khush hon, mujh ko faraib khany do

Main bhool jaon usy, ye to ho hi nahin sakta
Wo bhoolta hy mujhy to bhool jany do

Meri wafayen kal usy bohat rulayen gi
Meri wafa pe usy aaj muskurany do
Huwa wo kaisy juda yaad kuch nahin aata
Main sochta hoon usy kuch to yaad aany do



Submitted By Muneer
3


Bohut masroof lamhon mein,

Kabhi ek pal ko socho to

Koi kitna akela hai

Kisi ki zindagi tum ho

Kisi ki bandagi tum ho

Kisi ko teri khuwahish hai

Kisi ki chahtein tum ho

Kabhi ek pal ko socho to

Tumhari laa'parwahi ne

Tumhari be'niazi ne

Kisi ko maar dala hai

Koi zinda to hai lekin

Faqat woh saans leta hai

Zara

Ek pal ko socho to

Koi kitna akela hai

Kisi ki zindagi tum ho



Submitted By Muneer
4


"Aakhri baar us ne mujhey likha"


Suno mujhey elzaam na dena,

Ab koi paigham na dena,

Dard k is zalim sansaar mein,

Jis mein hum dono bustay hain,

Jee leney k so rastay hain,

Janam janam ki chahat kho ker,

Sab ki raza per raazi ho ker,

Kantay apney dil mein chubho ker,

Kisi ko khona hi parta hay,

Kis or ka hona hi parta hay,

Meri is majboori ko tum Be'wafai ka naam na dena,

Suno mujhey elzaam na dena.



Submitted By Muneer
5


Kabhi waqt mile to Aajao,
Hum jheel kinaray ja bethain

Tum apny sukh ki baat karo,
Hum apnay dukh ki baat karain

Aur un lamho ki baat karain,
Jo sang tumhary beet gai

Aur ehd-e-khizan ki nazar hoay,
Un sabz ruto k daman ma,
Hum pyaar ki khushbu mehkaen

Un bikhray sabz nazaro ko,
Hum aankho mein tasveer karain

Phir apnay praar k jadu se,
Hum lamho ko jageer karain

Kabhi waqt mily to Aajao,
Hum jheel kinaray ja bethain



Submitted By Muneer
6


(Us simt chalay ho to bas itna usay kehna)
(Ab koi nahi harf-e-tamana usay kehna)

(Dunya to kisi haal mein jeenay nahi deti)
(Chaahat nahi hoti kabhi ruswa usay kehna)

(Us ne hi kaha tha to yaqeen main ne kiya tha)
(Umeed pe qayim hai ye dunya usay kehna)

(Zarkhaiz zameenen kabhi banjar nahi hoten)
(Darya hi badal letay hain rasta usay kehna)

(Kuch log safar k liye mozoon nahi hotay)
(Kuch rastay cut'tay nahi tanha usay kehna)



Submitted By Muneer
7


Labon ki sersarahat se, Badan k choor hony tak,
Main tujh ko is tarah chahoon, K meri saans ruk jaye

Khataon par khata'ain hon, Na ho kuch baat kehne ko,
Main tujh mein yoon sama jaoun, K meri saans ruk jaye

Na himmat tujh mein ho baqi, Na himmat mujh main ho baqi,
Magar itna qareeb aaoun, Kmeri saans ruk jaye

Tere honton ko jab rakhoon, Me apny hont pe kuch aise,
Ya teri pyaas bujh jaye, Ya meri saans ruk jaye.



Submitted By Muneer
8


Kuch is tarha se main apni zindagi tamam kardon,
Waqt-e-sehar tum ko dikhaon aur shaam kardon

Khuwab mein bhi koi tere siwa dikhai na de,
Umer bhar k liye aankhon ko tera ghulam kardon

Tere pyaar ki khushbu se mehken meri saasen,
Aur jitni hein meri saansen sub tere naam kardon



Submitted By Muneer
9


Goya Andaz-e-Shahana Hay Ameeron Jaisa
Mere Andar Ka Hay Insan Faqeeron Jaisa

Hum Ne Chehre Pe Saja Rakhi Hay Shehar Ki Ronaq
Mere Dil Ka Aalam Hay Veeran Jazeron Jaisa

Uske Osaaf-o-Khasail Ne Mujhe Jeet Liya
Mere Mureedon Mein Wo Shakhs Tha Peeron Jaisa

Is Se Pehley Thi Aseri Bhi Rihai Jaisi
Ab To Azadi Mein Hay Haal Aseero Jaisa

Usko Ganwa Kar Hain Khasarey Ab Tak MoHsiN
Wo Jo Ek Shakhs Tha Mere Paas Heeron Jaisa



Submitted By Muneer
10


Apne asool youn bhi kabhi torrne parre
Uss ki khata thi haath mujhe jorrne parre

Aaya na jab qaraar dil-e-be'qaraar ko
Yaadoun ke rukh tumhari taraf morrne parre

Unnko to meri yaad na aayi bhool kar
Apne paraye jinn k liye mujhe chorrne parre

Woh shakhs khud barra be'asool tha
Apne asool jiss ke liye torrne parre


Submitted By Muneer


1   2   3   4   5   6   7   8   9   10     Next>

Newer Post Older Post