Ghazal SMS Page 8
'Kash bnane wale ne mujhe kitaab bnaya hota'
'Woh parhte parhte so jati mujhe seene se lagaya hota'
'Umer bhar ki pyaas bujh jati meri'
'Agar aik baar galay se lagaya hota'
'Mera wajood youn reeza reeza na hota '
'Hajome zindagi mein jo apna sahara bnaya hota'
'Le k phirte hum usey mohabbat k saraabon mein'
'Ishq k samandar ka koi kinara na hota'
'Hum to shaan se jate maqtal mein saahil'
'Aik baar jo us ne pyaar se bulaya hota'.
Submitted By Muneer |
Ajnabi shehar k ajnabi raaste,
Meri tanhai pe muskurate rahe
Main bohut dair tak yunhi chalta raha,
Zeher milta raha zeher pedaricha khula
Hum bhi goya kisi taar k saaz they,
Choat khate rahe gungunate rahe
Ajnabi shehar k ajnabi raaste,
Meri tanhai pe muskurate rahe.
Submitted By Muneer |
HAQIQAT
Agar ye jaanna chaho
Koi kese bikharta hai..?
Bikhar kar kese jeeta hai..?
Chamman mein tum chale jana,
Khiza k sard mousam mein,
Wahan paton ko dekho tum,
Ya phir ek aainaa le lo,
Usay pathar pe de maaro,
Agar mushkil ho ye bhi to,
Ek phool le lena,
Hawa k dosh pe rakhnaa,
Tou phir tum jaan jao gay k,
Koi kese bikharta hai..
Agar ye bhi na ho tum se,
To mere paas aa jana,
Mera deedar kar lena,
Khabar ye ho hi jaey gi,
Koi kese bikharta hai.
Submitted By Muneer |
Bol hawa, uss par zamanay kesaiy hain?
Ujray shehar mein yaar puranay kesaiy hain?
Chaand uterta hain ab kis kis aangan mein,
Kirnon se mehroom gharanay kesaiy hain?
Lab basta darwazon par kya beet gayi,
Galiyoon se mansoob afsaanay kesaiy hain?
Jin k jhurmat mein shaamain dam torr gaeen,
Wo pyaaray,pagal parwaanay kesaiy hain?
Mohsin hum tou khair khabar se dar guzray,
Apnay roothay yaar na janay kesaiy hain?
Submitted By Muneer |
~".AJNABI."~ ~Tujhe apni hathon ki lakeeron mein na basaya to phir kehna~
~Aa k tujhe tere khuwabon mein na sataaya to phir kehna~
~Teri sochon mein guzar jati hy sari raat~
~Zindagi bhar raton ko na jagaya to phir kehna~
~Dhondtay phiro gay tum har jaga hum ko~
~Apne ishq mein tujhe pagal na bnaya to phir kehna~
Submitted By Muneer |
Meri har janib samandar he kinara q nahi milta
Meray dil bata mujh ko sahara q nahi milta
Mujhey is sheher me din bhar hazaron log miltey hen
Jisey me dhondney nikli hon wo piyara q nahi milta
Jisey chaha, jisey dekha, jisey socha, jisey likha
Merey mola mera us se sitara q nahi milta
Submitted By Muneer |
*Naseebon Ki Baat*
Kisi ko mil jae wafa naseebon ki baat hai
Koi rota rahe sada naseebon ki baat hai
Kisi ko chahna khud se barh kar
Na ban sake wo apna naseebon ki baat hai
Koi kisi ki yaad me roya kare bohut
Koi kare na parwa naseebon ki baat hai
Apni jan b war deta hai kisi par koi
Phir b rahe koi khafa baseebon ki baat hai
Kisi ko mil jaen khushian hazar
Koi dhundta rahe muskan naseebon ki baat hai
Koi mil jae kisi ko bin mange hi
Koi umar bhar karta rahe tlash naseebon ki baat hai
Submitted By Muneer |
Main ajeeb zmane ki wafa dekhta raha
Umar bhar apna ghar tanha dekhta raha
Kahin na kahin to badal hi jate hain silsile
Magar main jahan gaya sehra dekhta raha
Jane q katrate hain log mujhe milne se
Kal shab dair talak aainna dekhta raha
Pani mangte mangte mere hont pathar ho gay
Wo shakhs mashkiza liye khara dekhta raha
Be-gunah tha phir b sar jhukay hue
Sitamgar k sitam ki inteha dekhta raha
Umar bhar mohabbat ka kuch yun silsila raha
Main use or wo duniya dekhta raha
Kahun ga khuda se yom-hisaab ko MoHsiN
K zamana meri barbadi ka tmasha dekhta raha
Submitted By Muneer |
Meri sadgi mera jurm hai
Yahan chahton ka sila nahi
Yahan dosti ka maza nahi
Yahan jane k c hawa chali
Rahi doston mein wafa nahi
Yahan jal gaya mera Aashiyan
Abhi badlon ko pata nahi
Tere dar pe main dastak de sakun
Ye haq tum ne mujhe diya nahi
Main rahi rahe umeed par
Mujhe manzilon ka pata nahi
Bebas hon jahan mein itni
Jese meri koi dosti ki wafa nahi
Meri sadgi mera jurm hay
Koi or meri khata nahi
Submitted By Muneer |
Teri be-parda nigahonka nishana ban k
Khudse jhagra hoon bohat tera deewana ban k
Mujhe is tarah se na dekh teri zulfon ki qasam
Phir na reh paaunga main tujhse begana ban k
Neend Aankhon k dreeche se to hai door magar
Khawab Aate hain phir sone ka bahana ban k
Ye tlatum teri ulfat ka mere dil mein to hai
Khatam ho jaye na ye qissa fasana ban k
Is qadar chahna usko na raas aaya `Fazi`
Wo mere pas se guzra hai begana ban k
Submitted By Muneer |
1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 Next>