Ghazal SMS Page 14



1


"Zameen pe chal na saka aasman se bhi gaya"
"Katwa ke par, wo paroda urraan se bhi gaya"

"Tabah kar gai pakkay makaan ki khuwahish"
"Main apne gaon k kachay makaan se bhi gaya"

"Parai aag mein jal k bhi kya mila mujhko"
"Usay bacha na saka, Apni jaan se bhi gaya"

"Bhulana chaha to uski bhi inteha kar di"
"Wo shakhs ab mere wehm--gumaan se bhi gaya"

"Kisi k hath ka nikla hua wo teer hoon main"
"Hadaf ko to choo na saka par kamaan se bhi gaya"



Submitted By Muneer
2


Pagal wo kar deti hogi
Ab bhi jab wo hansti hogi

Mujh ko to barbaad kiya hay
Khud bhi shayad roti hogi

Arsa beeta hay bin dekhe
Jaane ab wo kesi hogi

Us k haath ki raikhaon mein
Ik raikha meri bhi hogi

Jis din us se milna hoga
Shaam bhi us k jesi hogi

Dulhan ban kar wo is dil mein
Socho kesi lagti hogi

Jin haathon ko main ne chooma tha
Un ko ab tak takti hogi

Sun kar mera naam wo shayad
Ik lamhay ko chonkti hogi

Jaane ab wo kesi hogi



Submitted By Muneer
3


Zindagi bewafa kyun hoti hay?
Wafa karne ki saza kyun hoti hay?
*
Choti si baat pe baha dete hain khon
Insaan mein itni anna kyun hoti hay?
*
Karta hun mein jis se baar baar tauba
Elaahi mujh se wohi khata kyun hoti hay?
*
banate to hain hum apne haathon se masjid
Namaz apni hi phir qaza kyun hoti hay?



Submitted By Muneer
4


Sach to ye hey jo mujhe jhoot ki aadat hoti
Mujh ko tumse na tumhein mujh se shikayat hoti

Apne maazi k fasanay jo sunata tum ko
Kese zinda hun ab tak tumhein hairat hoti

Kuch nahi kehta to kehtay hein k maghroor hu main
Aur kuch kehta to kuch aur shikayat hoti

Khud parasti jo na insaan ki firtrat hoti
Sari dunya mein mohabbat hi mohabbat hoti

Tum ne acha kia mujh ko na dia wafa ka badla
Tum bhi mujh se jo wafa kertay to tijarat hoti



Submitted By Muneer
5


Door reh kar kareeb kitnay hein,
Faslay bhi ajeeb kitnay hein

Dard-E-dil ki dawa nahi warna,
Es jahan mein tabeeb kitnay hein

Umer bhar sath jo rahay teray,
Us k achay naseeb kitnay hein

Kyun na aaye tum meray sapno mein,
Meray shikaway bhi ajeeb kitnay hein



Submitted By Muneer
6


Hanste hain yunhi hans k rula jate hain log**
Milte hain yunhi mil k juda ho jate hain log**

Pal do pal ko umar bhar ka sath na samjho**
Mohabbat bhi karte hein khafa bhi ho jate hain log**

Qaidi hain jahane kin kin majboriyon k**
Kar k izhar-e-mohabbat be parwa ho jate hain log**



Submitted By Muneer
7


Jurme ulfat mein log hamen saza dete hen
Kitne nadan hen sholon ko hawa dete hen

Kaise mumkin he dil bhi jale aur duhwan na ho
Chot parti he to pathar bhi sada dete hen

Aap se to guzra he waqt do ghari ka
Log to sadion ki muhabbat ko bhula dete hen

Bas jahan bhi raho sada khush raho
Is aakhri mulaqat men yahi "Dua" dete hen

Kon yad rakhta he kisi ko bichar jane k bad
Ghar ki dehleas chorte hi apne bhi bhula dete hen



Submitted By Muneer
8


Tujh ko paane ki is liye zid nahi karte,
K tujh ko khone ka dil nahi karta

Dil ki baat is liye nahi batate,
K apna dil dukhane ko dil nahi karta

Tu milta hai to is liye nazren nahi uthate
K phir nazren hatane ko dil nahi karta

Khaabon mein tujh ko is liye nahi sajate,
K phir se jaagne ko dil nahi karta



Submitted By Muneer
9


Huwa jo kuch, bhulana chahiye tha
Usey ab laut aana chahiye tha

Yeh sara bojh mere sar pe quon hay?
Usey bhi gham uthana chahiye tha

Quon chup chap hi taa'luq tor diya?
Usey pehle batana chahiye tha

Usi ki yaad ki khushbu hay dil mein
Mujhe jis ko bhulana chahiye tha

Zara ghalti pe mujhse rooth betha
Usey kya bas bahana chahiye tha

Mujhe paa kar usey kya chain milta?
Jisey sara zamana chahiye tha



Submitted By Muneer
10


-Ek Ehsaas
-Ek Pyaas,
Or
-Bas Tum

-Ek Sawaal
-Ek Majaal
-Tumhara Khayaal
Or
-Bas Tum

-Ek Baat
-Ek Raat
Or
-Bas Tum

-Ek Dua
-Ek Faryaad
-Tumhari Yaad
Or
-Bas Tum

-Mera Junoon
-Mera Sukoon
-Bas Tum
Or
-Bas Tum



Submitted By Muneer


<Previous     11   12   13   14   15   16   17   18   19   20     Next>

Newer Post Older Post