Ghazal SMS Page 16
"Yun rah-e-wafa ki saleeb par, Tere 2 qadam uthane ka shukria"
"Bara pur khatar tha ye rasta, Tere laut jane ka shukria"
"Jo udaas hain tere hijr mein, Jinhein bojh lagti hay zindagi"
"Sar-e-bazm yun unko dekh kar, Tere muskurane ka shukria"
"Teri yaad kis kis bhais mein, Mery sher-o-nagme mein dhal gai"
"Ye kamal tha teri yaad ka, Mujhy yaad aaney ka shukria"
"Jo asool tha zamane bhar ka, Wo asool tu ne nibha diya"
"Yahi rasm thehri hay motabr, Mujhy bhool jane ka shukria"
Submitted By Muneer |
Sardiyon ki shaamein bhi kiya ajab shaamein hein
Log yaad atay hain
Aag si lagatay hain
Dil k har ik konay mein
Zindagi k manzer mein
Doob k ubhertay hain
Ik daga jo bichary thay
Roz roz miltay hain
Aur meri aankhon ko
De k kuch naye moti
Phir se laut jate hain
Phir hum akailay mein
Aansoun k railay mein
Sardiyon ki thandak mein
Tanha apne shanay py
Apni shaal sambhalay
Ghar ko laut atay hain
Sardiyon ki shaamein bhi kiya ajab shaamein hain
Submitted By Muneer |
Najane kia hoga na mil sake agar tum
Saans tou chale gi par zinda na honge hum
Dil mein gile tou honge bohut
Magar khamosh rahege phir bhi hum
Na chaha tha na chahenge kisi ko itna
Ji liya shayad bas jeena tha jitna
Bas phir khuda se 1 dua karenge hum
Tum humein bhool jao or zindagi ko hum
Meri bhi saari khushiyan milen tujhe
Tere gham bhi cheen lenge hum agar aysa hojaye tou
Haar k bhi jeet jayenge hum
Submitted By Muneer |
Lo apna jahan ay duniya walo,
Hum is duniya ko chor chale
Jo rishtay naty jory thay,
Wo rishtay nathay tor chale
Kuch sukh k sapnay daikh chaly,
Kuch dukh k sapnay jhel chale
Taqdeer ki aandhi gardish nay,
Jo khail khilaay khail chale
Har chez tumhari lota di,
Hum le kar kuch na sath chale
Phir dosh na dena ay logo,
Hum dekh lo khali hath chale
Ye rah qateel akeli kat'ti hay,
Yahan sath na koi yar chale
Us paar na janay kiya hoga,
Iss paar tou sab kuch haar chale
Submitted By Muneer |
Main apni dosti ko shehar mein ruswa nahi karti,
Mohabbat main bhi karti hoon magar charcha nahi karti
Jo mujh se milnay aajaye main us ki dil se khadin hoon,
Jo utth k jana chahay mein usay roka nahi karti
Jisey main chhor deti hoon usey phir bhool jati hoon,
Phir us hasti ki janib main kabhi dekha nahi karti
Tera israar sarr aankhon pe k tum ko bhool jaaoon main,
Main koshish kar k dekhoon gi magar waada nahi karti
Submitted By Muneer |
Mera maqsad bithana tha use jane ki jaldi thi
Mujhe dukhrra sunana tha use jane ki jaldi thi
Nahi tha waqt pas us k sunta dastaan meri
Bara lamba fasana tha use jane ki jaldi thi
Bari mudat ki khuwahish thi magar piasi rahi yaro
Galay usko lagana tha use jane ki jaldi thi
Nahi thehra wo ik lamha, jo raatein thehr jata tha
Tauq to purana tha use jane ki jaldi thi
Main Wasi rokta kese k rukna tha kahan us ne
Usey har haal jana tha, Usey jane ki jaldi thi
Submitted By Muneer |
Doob rahi hein saansen magar ye guman baaqi hay,
Aane ka kisi shakhs k abhi imkaan baaqi hay
Muddat hui ek shakhs ko bichre huye lekin,
Aaj tak mere dil pe ek nishaan baaqi hay
Kashti zara kinare k qareeb hi rakhna,
Bikhri hui lehron mein abhi tufan baqi hay
Tumhare hi ashkon ne lab si diye warna,
Abhi to mere dukhon ki bohut dastaan baaqi hay
Ghamo se keh do k abhi na rakh-e-safar bandhen,
Kay abhi to mere jism mein kuch or jaan baaqi hay
Submitted By Muneer |
Kiya ajab, ahtisab apna tha
Jaan apni, azaab apna tha
Kuch mile log bhi zamana saaz
Kuch muqaddar kharab apne tha
Ye k mukhlis they hum mohabbat mein
Jurm bas ye janab apna tha
Ab kia karna us shakhs se gila kar k
Wo bhi tou intikhab apna tha
Submitted By Muneer |
Khoon badal se baraste dekha
Phool ko shaakh pe daste dekha
Kitne bedaar khayalon ko yahan
Daam ikhlaas mein phanste dekha
Dil ka gulshan k bayaban hi raha
Aisa ujjra k na baste dekha
Khul gaya jin pe musarat ka bharam
Phir kabhi in ko na hanste dekha
Ab kahan ashk nadamat Saghar
Aastenoo ko taraste dekha
Submitted By Muneer |
Khizan ki rut ka sazawar bhi nahi hota
Ye nakhl jaan k samr bar bhi nahi nahi hota
Kahan se dhoond k laatey hein zindagi ka jawaz
Woh jin ko ishq ka azaar bhi nahi hota
Warq warq woh meri daastaan hoti hai
Magar kaheen mera kirdar bhi nahi hota
Humein aziz bohut hein ye jaan-o-dil lekin
Tumhare saamne inkar bhi nahi hota
Nahi hay hasrat tameer bhi koi Tariq
Magar ye khuwab tou masmaar bhi nahi hota
Submitted By Muneer |
<Previous 11 12 13 14 15 16 17 18 19 20 Next>