Ghazal SMS Page 13
-Aa Bant len Saray dard-o-Alam kuch tum rakh lo kuch hum rakh len-
-Ab Ponch lo apnay ashk Sanam, Kuch tum rakh lo kuch hum rakh len-
-Hum sath rahen aur sath chalen hub sath jiyen aur sath maren-
-Is raah-e-wafa pe qadam, kuch tum rakh lo kuch hum rakh len-
-Mana k dukhon se tum ho bhare or hum bhi khali hath nahi-
-Ye zulm-o-sitam tumhen meri qasam, kuch tum rakh lo kuch hum rakh len-
-Bedard zamane wale jo kuch kehte hain kehne do-
-Beloas tamanaon ka bharam, kuch tum rakh lo kuch hum rakh len-
Submitted By Muneer |
'Sheesha mera wajood hay, Pathar talash kar'
'Meray galay ke wastey khanjar talash kar'
'Qatray se meri tishnagi na bujh sakay gi ab'
'Mere liye tu koi samandar talash kar'
'Duniya ke is hujoom mein hargiz mujhe na dhood'
'Mujh ko kahin tu apne hi andar talash kar'
Submitted By Muneer |
Udaas shaamon ki siskion mein
Kabhi jo meri awaaz sun'na
Tou beety lamhon ko yaad kar k
Inhifizaon mein lout aana
Tum aaya karte thay khwaab ban kar
Kabhi mehaktay they gulab ban kar
Main khushk hoonton se jab pukaaroon
In adaaon mein lout aana
Meri wafaaon ka paas rakhna
Meri duaaon ka pas rakhna
Main khali haathon ko jab uthaaon
Meri duaaon mein lout aana
Submitted By Muneer |
Bohat be-chain rehti hay tabiyat aik muddat se
Dil-o-jaan ko nahi mil paai rahat aik muddat se
Mujhe bhi rok rakha hay meri masroofiyat ne or
Nahi ki tum ne bhi milnay ki zehmat aik muddat se
Bohat majboor hoon warna bohat mehssos karta hoon,
Meri jaan tum se milnay ki zarorat aik muddat se
Kisi din aa k mil jao k apnali hay aankhon ne
Tumhari yaad mein ronay ki aadat aik muddat se
Submitted By Muneer |
Main wohi hon jisay tum dost kaha karte thay
Din mein so baar mera naam liya karte thay
Aaj kiya baat hay kyun mujh se khafa bethay ho?
Kiya kisi aur ko tum dost bana bethay ho?
Faaslay itne to pehle na huwa karte thay
Main wohi jisay tum dost kaha karte thay
Tum agar bhool gaye ho to koi baat nahi
Zakham to pehle bhi is dil pe laga karte thay
Main wohi hon jisay tum D-O-S-T kaha karte thay.
Submitted By Muneer |
Bikharti rait per kis naqsh ko aabad rakhey gi,
Wo mujhko yaad rakhey bhi to kitna yaad rakhey gi
Usay buniyad rakhni hay abhi dil mein mohabbat ki,
Magar ye sang seenay per wo meray baad rakhey gi
Palat ker bhi nahi dekhi uski ye be-rukhi hum ne,
Bhula den gey usay aisa k wo bhi yaad rakhey gi
Submitted By Muneer |
Koi umeed jo hoti tere laut aane ki
Phir na hoti aisi halat dil deewane ki
Main to har haal mein khush rehne ki justju mein raha
Na gai teri aadat wo staane ki
Zindagi jabar-e-musalsal ki tarha kaat raha hoon
Nahi deta koi dua bhi mar jane ki
Ab tou aksar yehi sochta rehta hoon
Tujh ko maangon ya maangon dua apnay mar jane ki
Submitted By Muneer |
"Us waqt ko yaad kar zara, jab uthaya jayega
Tera Janaza Tere chahne wale
Tujh par aansoun bahainge
Is say ziada kuch nahi kar payenge
Phir tujhe nahla kar kafan pehna kar
Qabar k garhay mein ja dafnayenge
Phir kuch din bhi na guzar payenge
Yahi log qehqahe lgayenge
marne walon k 7 kon marta hay
Qabron pe phir kon aya karta hay
Tujhe mare hue jab zamane guzar jayenge
Log naam bhi bhool jayenge
Bas yehi he haqiqat is dunia ki khoob ja lo
Kamiyabi chahte ho to ALLAH ki maan lo"
Submitted By Muneer |
Mujh mein doob jao k meri gehraiyon ka pata chale
Mere dard ki shiddat meri tanhaiyon ka pata chale
Aise to har roz wafa k naam par toote hain dil
Mujh ko bhi chaho k meri bewafaiyon ka pata chale
Ye or baat k lafz mere ho kar nahi rehte
Phir bhi pucho koi sawal k meri sachiyon ka pata chale
Submitted By Muneer |
Wohi sochain wohi batein wohi andaz ab bhi hay
Bohut bechain lagtay ho koi to raaz ab bhi hay
Main kaisay us ki yaadon or wadon se nigahe phairoon?
Wo mujh se roothnay wala mera hamraz ab bhi hay
Yeh tum ho is taaluq par preshaan or nadim bhi
Isi belos rishtay par mujhay to naaz ab bhi hay
Submitted By Muneer |
<Previous 11 12 13 14 15 16 17 18 19 20 Next>