Ghazal SMS Page 12
1
"Un k andaz-e-karam, Un pe wo ana dil ka"
Haaye wo waqt, wo baatein, wo zamana dil ka
"Na suna usne tawajjo se fasana dil ka"
Umar guzri per dard na jana dil ka
"Dil lagi, dil ki lagi ban k mita deti hay"
Rog dushman ko bhi ya rab na lagana dil ka
"Wo bhi apne na howe dil bhi gaya haathon se"
Aesy aane se tou behtar hay na aana dil ka
"Unki mehfil me Parveen un k tabasum ki adaa"
Hum dekhte reh gaye haath se jana dil ka.
Submitted By Muneer |
Hone lagi hai tujh se mohabbat usey kehna
Lagta hai har ek lamha qayaamat usey kehna
Milna to door tumse ai jaan-e-tamana
Hai sochna tumko aadat usey kehna
Dil pehle hi iqraar ki sooli pe khara hai
Daalo na intezaar ki aadat usey kehna
Mujh ko pyaar karne ki jo chahe saza do
Karna nahi logon se shikaayat usey kehna
Main tujhe chaahon, tujhe sochon, tujhe likhon
Koi dil mein na reh jae meray hasrat usey kehna
Submitted By Muneer |
Apni dharkanon sekuch aise mera naam lo,
Ye waqt ruk jaye is lamhay ko thaam lo
Teri aankhon mein jhalak hay aisi mere piyaar ki
Saahil pe jese dhalti haseen shaam ho
Lafzon se hota nahi izhaar humse piyaar ka
Bus meri aankhon mein dekh kar khud ko pehcchaan lo
Jese tarasta hay sehra shabnam k choonay ko Wasi
Kabhi wese rab se tum bhi mujhe maang lo
Submitted By Muneer |
In tamam haseen ruton ko tumhary naam kar doon
Tumhary payar mein ye umar apni tamam kar doon
Jalta hay jo suraj mahboob ki tallash mein
Us ki tapish ko tumhary liye gulay aam kar doon
Zindagi bhar khoya rahon tery shehar mein
Jee chahta hay in raaton ko gumnaam kar doon
Daikho jo aik dafa payar sy meri taraf
Tumhari chahat mein paish apni jaan kar doon
Aik dafa daikho tum meri chahat ko
In sahraon ko tery liye gulistaan kar doon
Submitted By Muneer |
"Meri taqdeer se pooch Meri qismat ka faisla"
"Meri muskurahat pe na ja Mere dard ko talaash kar"
"Meri aankhon se pooch Mere intezaar ki inteha"
"Mere itminaan pe na ja Mere sabar ko talaash kar"
"Mere pyaar se pooch Mere pyaar ka aalam"
"Meri soorat pe na ja Meri seeratko talaash kar"
Submitted By Muneer |
Chalo tum keh rahe ho to
Main wapis lot jata hon
Tumhain manzil mubarik ho
Naya sathi mubarik ho
Magar aye humdum-e-deirina
Mujh ko itna batla do
Ky wapis kis taraf jaon
Kahan se saath laye thay
Mujhe itna to samjha do
Agar aysa nahe mumkin
To mujh ko is tarha toro
Ky main yaksir bikhar jaon
Bhataknay se to behtar hai
Tumhary paas mar jaon
Submitted By Muneer |
Khwahishon k Aangan mein raat din bseray thay,
Titliyan tumhari then aur phool mere thay
Chand aasmano se jab zamin pe utra tha,
Dekhnay mein raatein then asal mein sweray thay
Tere paas basnay ki khai thi qasam lekin,
Shehar bhi praya tha log bhi luteray thay
Lut gaye hum dono to qasoor kis ka hay?
Khwahishen bhi teri then feslay bhi tere thay
Submitted By Muneer |
Kurb kay shehar mein reh kar nahi dekha tu ne
Kiya guzarti rahi hum par nahi socha tu ne
Ay mujhay sabar kay aadaab sikhanay walay
Jab wo bichra tha wo manzar nahi dekha tu ne
Tu ne dekha hai muqaddar ka sitara shayad
Par sitaray ka muqaddar nahi dekha tu ne
Submitted By Muneer |
Thokar lagi tou, Apne muqadar pe ja gira
Phir yun huwa k, Aaina pathar pe ja gira
Ehsaas-e-Farz jab bhi huwa, Neend aa gayi
Chalna tha pul-saraat pe, Bister pe ja gira
Baazi mohabbaton ki jahaalat ne jeet li
Wo ban gaya khateeb, Jo mimber pe ja gira
Khushbu qasoor-waar nahi, is ko chor do
Main phool torte huwe kantoon pe ja gira
Sahraaon mein liye phirta raha paani ki justaju
Jab piyas mar gayi to, Samudar pe ja gira
Submitted By Muneer |
Bachpan Ka Zamana Hota Tha
Khushion Ka Khazana Hota Tha
Chahat Chaand Ko Pane Ki
Dil Titli Ka Deewana Hota Tha
Rone Ki Waja Na Hoti Thi
Hansne Ka Bahana Hota Tha
Khabar Na Thi Kuch Subho Ki
Na Shaamon Ka Thikana Hota Tha
Matti Kay Ghar Bnatey They
Aur Un Ko Girana Hota Tha
Gham Ki Zuban Na Hoti Thi
Na Zakhmon Ka Paymana Hota Tha
Barish Mein Kaghaz Ki Kashti
Har Mosam Suhana Hota Tha
Wo Khel Wo Saathi Hote The
Aur Har Rishta Nibhana Hota Tha
Submitted By Muneer |
<Previous 11 12 13 14 15 16 17 18 19 20 Next>