Ghazal SMS Page 50

1

Tujhy udaass bhi karna tha khud bhi rona tha ,,,
Ye haadsa bhi meri jaan kabhi to hona tha ,,,

Namu ka ranj na abr-e-gurez pa sy mAlal ,,,
K muj ko baanjh zmeenon me beej bona tha ,,,

Ye kya k gard-e-rah-e- raftgaan ko ourh liya ,,,
Kafan ka dagh badun k lahu sy dhona tha ,,,

Jo dastaan usy kehna thi phr na-gufta rahi ,,,
K main b thk sa gya tha, usy b sona tha,,,

Main takht-e-abr pa soya tha raat bhr "MOHSIN"
Khuli Jo aankh to sehraa mera bichona tha..@


Submitted By Muneer
2

Ankhon me raha dil me utr kr nhe dekha ,,,,
Kashti k musafir ny samundr nhe dekha ,,,,

be'waqt agr jaon ga sb chonk parhen gy ,,,,
ik umr hui din me kabighar nhe dekha ,,,

Jis din sy chala hun meri manzil py nazar hai ,,,
Ankhon ny kbi meel ka pathar nhe dekha ,,,,

Ye phool mujy koe wrasat me mily hen...
Tum ne mera kanton bhra bistar nahe dekha...

Pathr Mujhy kehta hai mera chahany Wala..
Me mom hun us ne mujhy Chou kr Nahi dekha....@


Submitted By Muneer
3

Bhulata laakh hon lekn brabr yad aty hain.
Elahi tark e ulaft par woh kun kr yad ate hain?

Na chair aye hamnsheen kefiat e sehba ke afsany.
Sharab e bekhudi ke mujh ko saghr yad aty hain.

Nhen ati to yad on ki mheeno tk nhen ati.
Magar jb yad aty hain to aksr yad ate hain.

Hqeeqt khul gai Hasrat Tere tark e mhbt ki.
Tujhy to ab woh pehly sy bi barh kr yad aty hain!!


Submitted By Muneer
4

Meri zindgi ka tasawur mere hath ki lakeeren,
Inhen kash tum badalte to kuch aur bat hoti!

Ye khule khule se gesoo, inhen lakh mai sanwaru,
Tery hath se sanwarte to kuch aur bat hoti!

Tu mera aaina tha tu mera aaina hai,
Tery samne sanwarte to kuch aur bat hoti!

Abhi ankh hi larri thi k gira dya nazar se,
Ye jo silsila barhate to kuch or bat hoti!

Hamen apni zindgi ka kuch gham nhi he KHADIM,
Tere aastan pe marte to kuch or bat hoti.


Submitted By Muneer
5

Mein wohi hon jise tum dost kaha karte they
Din me so bar mera naam liya karte they
Mein na mil paon to tum aahen bhara karte they

Aaj kya bat hy kyun mujhse khafa bethe ho
kya kisi or ko tum dost bana bethe ho?

Faasle itne to na pehle huwa karte they
Men wohi hon jise tum dost kaha karte they.


Submitted By Muneer
6

Ghar men suraj k utrny ka boht ranj hua,
Kal mujhe raat guzrny ka bahut ranj hua.

Jis ne kr dala meri zat ko reza reza,
Mujh ko us k b bikhrny ka bahut ranj hua.

Yoon to is shehr men jhoot koi aib nahi,
Jany q tery mukarny ka bahut ranj hua?

Ab tujhy dekhny, milny ki tamanna hi nahi,
Niyat-e-shoq k bhrny ka bahut ranj hua.

Kuch kr jaengy aesa MOHSIN k kahy gi ye dunya,
Hm ko ik shakhs k marny ka bahut ranj hua...


Submitted By Muneer
7

Kab dard k maron ko sakoon hota hai MOHSIN,
Jab ishq nahi hota to janoon hota hai MOHSIN

Bybus fakeeron se nahi pochta koi,
Kis tarha tmannaao ka khon hota hai MOHSIN

Yeh ishq jo apna humain hone nahi deta,
Yeh ishq bhi hota hai to keyun hota hai MOHSIN..?

Har shaam chragoon ki tarha jalti hein Aankhain,
Kaya koi chala jaey to youn hota hai MOHSIN?


Submitted By Muneer
8

Na Janay Q Meri Shairi Ka Unvan Ban Jatay Ho Tum,
Sub Kuch Jantey Huay B Anjan Ban Jatay Ho Tum,

Na Koi Rishta Hai Tum Se Na Or Koi Ta'alluq,
Phir Bhi Na JaneyQ Mera Maan Ban Jatay Ho Tum,

Main Jo Bhi likhta Hoon Baat Zara Qareeney Se,
Mera Geet Meri Shairi Mera Deevan Ban Jatay Ho Tum,

Dil Se Jo Nikalti Hai labon Pay Aa K Dm Torr Deti Hai,
Wo Tamanna, Vo Hasrat, Vo Arman Ban Jatay Ho Tum...


Submitted By Muneer
9

Mere Naseeb Me Phir Ye Bahaar Ho K Na Ho,
Najane Phir Wo Mera Ghamkusaar Ho K Na Ho..

Yehi Buhat Hy K Ek Shakhs Chain Pa Jae,
Bhale Darakht Buhat Saya Daar Ho K Na Ho..

Isi Gumaan Ne Kbi Lotnay Diya Na Mujhe,
Najane Usko Mera Intazaar Ho K Na Ho..

Magr Ye Teh Hai K Main Uske Gham Me Rehta Hun,
Mere Liye Wo Bhale BeQarar Ho K Na Ho..

Main Dhoop Ban Nahi Sakta 'WASI' Kisi Ke Liye,
Mere Liye Koi Abr-e-Bahaar Ho K Na Ho..


Submitted By Muneer
10

Us k sath mein guzra zamana yad ata hy,
Zara c bat pr hasna hasana yad ata hy

wo pehli c mulaqaten wo sharmai hoi batain
Wo manzar chandni shab ka suhana yad ata hy,

Wo uska roth kr baton hi baton main behel jana
Wo mra usko aisay main manana yad ata hy,

Wo honton pe tabas'sum sa wo baton main tran'num sa
Mohabat ka adhora sa fasana yad ata hy,

Uske bary mein jab bi sochta hon main kbi,
Nighaon se nigahon ka milana yad ata hy...


Submitted By Muneer


<<First       <Previous       41   42   43   44   45   46   47   48   49   50       Next>  

Newer Post Older Post