Ghazal SMS Page 48
Koi umeed jo hoti tere lout aane ki.
Phir na hoti aisi halat dil dewane ki.
Mein to har haal mein khush rehne ki justju mein raha.
Na gai teri aadat wo staane ki.
Zndgi jabr-e-musalsal ki tarah kaat raha hon.
Nahi deta koi dua bhi mar jane ki.
Tere sang beeta har lamha yaad aata hai.
Jab bhi koshish ki tujhe bhulane ki.
Ab to aksar yehi sochta rehta hoon Wasi
Tujh ko mangon ya mangon dua tuje bhul Jane ki....
Submitted By Muneer |
Kuch zindagi bewafa thi,kuch teri dua main farq tha.
Kuch hum se khata hui,kuch teri wafa main farq tha.
Shayad kabhi hum dono aik ho hi jatay,,
Kuch main b tha "ANAA"main,kuch teri "SADAA"main farq tha.
To ne b dekha shayad mujay zamany ki taraha,,
Kuch BHOOL gay thy hum b,kuch teri NIGAAH main farq tha.
Bara naaz kiya kartay thy taray payar pe,,
Kuch DIL k haathoon majboor thy,kuch teri RAZA main farq tha...
Submitted By Muneer |
Usi ko apne Dil Me Bsaya aur Bsaya ~Kuch B Nahi~
Jidher Dekha udher woHi Nazer aya or Nazer aya ~Kuch B Nahi~
Dunia walo Ne be-waja Badnam kar diya
Ma Ne bas us ka Dil Churaya or Churaya ~Kuch B Nahi~
Bas Ek usi ko Nahi khona Chahte thy Hum
Lekin Hum Ne bas usi ko Ganwaya or Ganwaya ~Kuch B Nahi~
Wo Jis ko Yaad kiye Baghair Soty Nahi thy
Hum Us Ne bas Hamain Hi Bhulaya or Bhulaya..!! ~Kuch B Nahi
Submitted By Muneer |
Kahaniyan Na Suno Aas Pas logon Ki,
K Mera Shehar Hai Basti Udaas Logon Ki,
Mohabbaton ka Safar Khatum Hi Nahi Hota,
Humen To Dosti Aayi Na Raas LoGon Ki,
Humen B, apny kai dost yaad Atay hain,
Chlay jo baat kabi khaas khaas LoGon ki,
Main aany walay zmanay sy darr raha hoon /_FARAZ_/
K main ny dekhi hain aankain udaas LoGon ki......!!!..
Submitted By Muneer |
Bari tarap hai meri iltaja k pardey mein,
Main tm ko mang raha hon dua k pardey mein,
Usey b darr hai k ye raaz khul na jaye kahin,
Likhta hai naam mera wo Hina k pardey mein,
Main Uss k koochey se guzra to ye mehsoos hua,
Mujhe pukara hai Uss ne hawa k pardey mein,
Ajeeb tarz-e-maseehai Uss ne dikhlai,
Hayyat meri badal di dua k pardey mein,
Is tarha chehrey ko zulf mein chupaya Us ne,
K jaise chand chupa ho ghat? k pardy me
Submitted By Muneer |
Kabhi Pyar hi k jhagry kabhi Mohabaton ki batein
Wohi aap hi k Qisay wohi aap hi ki batein
Wo mila hai mujh ko aksr sar-e-rah chalty chalty
Wohi ajnabi nigahain, wohi berukhi ki batein
Na smajh ska jahan mein koi mera dard yaro
Mere ghum ko log smjhen meri shaairi ki batein
Koi hum ko ye bataey ye junun nhi to kya hai
Miley jab ?hi hum kisi se krein aap hi ki batein
Mere haal pe wo aksr kuch aisay muskuraey
Main suna rha hun jesy ksi ajnabi ki batein.
Submitted By Muneer |
*Sitary Bant'ta Hai wo,Ziya Taqseem Karta Hai...!
Suna Hai Habs-e-Mosam MainHawa Taqseem Karta Hai..'''
Usi ki Apni Beti Ki Hatheli KhushkRehti Hai..!
Jo Borrha Dhoop Main Aksar HINA Taqseem Karta Hai..
Koi Roky Usay Ja KarSara-Sar Hai Ye Pagal Pan..
Jo Be'hroon K Muhhally Main Sada Taqseem Karta Hai..
Usi Se Mang Tu "Mohsin"Baaqi Chor De Sub Ko..
Jo Pathar Mein B Keery Ko Ghiza Taqseem Karta He,,
Submitted By Muneer |
Darguzar uss ki her jafa kardi,
Uss k haqq mein aaj phir dua kardi,
aik lamhay mein kho diya uss ko,
Jiss ko panay mein inteha kardi!
Jis nay deikha woh ho gaya uss ka,
Uss ki tasweer hum ne Aaiyna kardi,
Uss ki ik zara si khushi k liye,
hum ne,Apnay hi haqq mein bud-dua kardi...
Submitted By Muneer |
Harf_e_Ranjish pe koi Baat B ho Skti hai,
Ain Mumkin hai Mulaqaat B ho Skti hai,
Zindagi Phool hai,Khushbu hai,mgr Yaad rhy,
Zindagi Grdish_e_Haalaat B ho Skti Hai,
Hmne Ye Soch k Rkha tha Qdm Gulshan Mai,
Lala_o_Gul Mai Teri Zaat B Ho Skti Hai,
Chaal Chlte Huwe Shtrnj Ki Baazi k usool,
Bhool Jaogy To Phir Maat B Ho Skti Hai,
Aik to Chhatt k Bina ghr Hai Hmara MOHSIN,
Us Pe Ye Khof k Brsaat B Ho Skti Hai.
Submitted By Muneer |
Kia poochte ho tere hijr mai kia sochte hen,
Sja k tmko nigahon mai sda sochte hen
Tere wajood ko chhu kr jo guzarti hai kbhi,
Hm us hawa ko b Jannat ki hwa sochte hen
Ye apne zarf ki had hai ya faqat tera lehaaz,
Tere sitam ko muqaddar ka likha sochte hen
MERA US SHEHAR-E-ADAWAT MEIN BASERA HAI JAHAN,
LOG SAJDON MEIN BHI LOGON KA BURA SOCHTE HAIN...
Kis qadar hm hain nadaan dosti me "QATEEL"
Tere ikhlas ko hm teri wafa sochte hain.
Submitted By Muneer |
<<First <Previous 41 42 43 44 45 46 47 48 49 50 Next>