Ghazal SMS Page 42

1

Mosam-E-Gul Mein Koi Zakhm-E- Judai De Ga,
Dil Ko Phir Kon Khizan Rut Se Rehai De Ga,

Jane Kis Rah Pe Le Jaye Ye Wehshat Dil Ki,
Tujh Se Bichra To Mujhe Kuch Na Sujhai De Ga,

Or Kuch Dair Ye Rounaq Hai Sar-E-Bazam,
Phir To Her Koi Gham-E-Dil Ki Duhai De Ga,

Ab Yehi Khowab Ganimat Hai K Tu Paas To Hai,
Bujhti Aankhon Ko Na Kal Kuch Bhi Dikhai De Ga,

Har Kisi Dar Pe Gham-E-Jaan Ki Tasheer Na Kar,
Ab Shifa Tujh Ko Wohi Dast-E-Hinaai De ga..


Submitted By Muneer
2

Meri Aarzoo Hai Tujh Ko Mile Humsafar Koi Aisa
Teray Faasle Samaite, Tujhe Dhoop Se Bachaye

Ye Udaasiyon Ki Shaamein Jo Guzar Sakein Na Tanha
Tera Paas Aa K Bathey, Tujhe Rotay Mein Hansaye
Kabhi Bhool Kar Bhi Tujhko Jo Koi Yaad Aana Chahey
Tujhe Itna Pyaar De K Tujhe Yaad Kuch Na Aaye

Jab Bhi Tum Maango KHUDA Se Apne Liye Kuch Khaas
KHUDA Kare Tere Labon Pe Bus Mera Hi Naam Aaye


Submitted By Muneer
3

Kab Lout K Aao Ge Bata Kyun Nahi Detay
Deewar Bahano Ki Gira Kyun Nahi Detay

Tum Paas Ho Mere Tou Pata Kyun Nahi Chalta
Tum Door Ho Mujh Se Tou Sada Kyun Nahi Detay

Ek Tery Siva Aur Kisi Ko Bhi Na Chaha
Ye Baat Zamanay Ko Bata Kyun Nahi Detay

Bahaar Ki Hawaon Ka Agar Khauf Hai Itna
Jo Roshni Andar Hai Bujha Kyun Nahi Detay

Raaton Ko Jaagnay Ki Saza Detay Ho Aksar
Tum Hum Ko Wafaon Ka Sila Kyun Nahi Detay


Submitted By Muneer
4

Raat Din Hijr Ki Wehshat B Nahi Rakhni Hai
Kisi Se Ab Itni Mohabbat B Nahi Rakhni Hai

Jis Ka Jee Chahe Hamein Torr K Tukray Kar De
Is Qadar Narm Tabiyat B Nahi Rakhni Hai

Ek Do Saal K Rishton Se Hamein Kya Haasil
Ek Do Pal Ki Rafaqat B Nahi Rakhni Hai

Jin Se Bichrain To Sambhalne Mein Zamane Lag Jatein
Aisey Logon Se Murawat B Nahi Rakhni Hai

Kiya Ajab Haal Hai Chahat K Talabgaron Ka
Show Bikne Ka Hai, Qeemat B Nahi Rakhni Hai


Submitted By Muneer
5

Yaar Bhi Raah Ki Dewaar Samajte Hain Mujhy
Main Samajta Tha Mere Yaar Samajte Hain Mujhy

Main Tou You Chup Hoon K Ander Se Bohat Khali Hoon
Aur Sub Log Pur-Israr Samajte Hain Mujhy

Main Tou Badalty Huay Halaat Mein Dhal Jata Hoon
Dekhne Walay Adakaar Samajte Hain Mujhy

Wo Jo Us Paar Hain Un K Liye Is Paar Hoon Main
Wo Jo Is Paar Hain Us Paar Samajte Hain Mujhy

Naik Logon Mein Mujhy Naik Gina Jata Hay
Aur Gunehgaar, Gunehgaar Samajte Hain Mujhy


Submitted By Muneer
6

Zamana Dost Ho Jaey To Bohat Mohtaat Ho Jana
K Is K Rang Bdalnay Mein Zara C Dair Lagti Hai

Koi Jo Khwaab Dekho To Ussey Foran Bhulla Dena
K Neenden Toot Janey Mein Zara C Dair Lagti Hai

Kisi Ko Dukh Kabhi Dena To Itna Soch Kar Dena
Kisi Ki Aah Lagney Mein Zara C Dair Lagti Hai

Bohut Hi Mo'tabar Hain Jin Ko Muhabbat Raas Aa Jaey
Kisi Ko Raah Badalney Mein Zara C Dair Lagti Hai


Submitted By Muneer
7

Kab Tak Raho Gey Aakhir You Door Door Hum Se
Milna Parey Ga Aakhir Ek Din Zaror Hum Se

Daaman Bachaney Waley Ye Be-Rukhi Hai Kesi
Keh Do Agar Huwa Hai Koi Qasoor Hum Se

Hum Cheen Len Gey Tum Se Ye Shan-E-Benyazi
Tum Maangte Phiro Gey Apna Gharoor Hum Se

Hum Chor Den Gey Tum Se You Baat Cheet Karna
Tum Poochte Phiro Gey Apna Qasoor Hum Se


Submitted By Muneer
8

Saaray Wadun Ko Bhula Sakta Hoon Lekin Choro
Main Tumhein Chorr K Ja Sakta Hoon Lekin Choro

Tum Jo Har Morr Pe Keh Detay Ho Khuda Hafiz
Faisla Main Suna Sakta Hoon Lekin Choro

Yeh Jo Tumhein Show Hai Naye Chehron Ki Deed Ka
Naye Dost Main Bhi Bana Sakta Hoon Lekin Choro

Gharoor Agar Tum Ko Hain Apne Husn Pe
To Kamal Main Bhi Dikha Sakta Hoon Lekin Choro

Ye Jo Tumhein Maan Hai K Meri Zindagi Tum Ho
Isay Khaak Mein Mila Sakta Hoon Lekin Choro


Submitted By Muneer
9

Mohabbat Ki Kahani Mein Koi Tarmeem Mat Karna
Mujhy Tum Torr Dena Per Mujhy Taqseem Mat Karna

Bhalay Tum Chorr Kar Jaao Mera Dil Torr Kar Jaao
Faqat Khud Ko Meray Dil Se Kabhi Tum Door Mat Karna

Teray Dil Ki Tamana Hai Mujhy hi Aazmanay Ki
Mujhy Tum Aazma Lena Meri Chaahat Bhula Dena

Agar Main Yaad Aaon Tou Sirf Itni Hi Khuwahish Hai
Mujhy Jesay Giraya Hai Youn Chand Aansoo Gira Dena

Mohabbat Ki Kahani Mein Koi Tarmeem Mat Karna


Submitted By Muneer
10

Ek Chehra Jo Mere Khuwaab Sajaa Deta Hai
Mujh Ko Mere Hi Khayalon Mein Sadaa Deta Hai

Wo Mera Kon Hai Maloom Nahi Hai Lekin,
Jab Bhi Milta Hai Tou Pehlu Mein Jagaa Deta Hai

Main Jo Ander Sy Kabhi Toot K Bikhroon,
Tou Wohi Mujh Ko Chun'ney K Liye Haath Barhaa Deta Hai

Main Jo Tanha Kabhi Chupkay Sy Bhi Rona Chahon,
Tou Dil K Darwazay Ki Zanjeer Hilaa Deta Hai

Uski Qurbat Mein Hai Kya Baat Na'janay Yaro,
Ek Lamhay K Liye Sadiyon Ko Bhula Deta Hai


Submitted By Muneer


<<First       <Previous       41   42   43   44   45   46   47   48   49   50       Next>  

Newer Post Older Post