Ghazal SMS Page 49

1

" Zid Achi Nahi"
Uljhay Huay Haalaat Ka Shikwa Na Kia Kar,
Kheraat Mein Khushiyon Ki Tamanna Na Kia Kar,

So Baar Kaha itni Mohabat Nhi Achi,
So Baar Kaha itna Bharosa Na Kia Kr,

Halaat Tujh ko Mujh se Na Milny Kabhi Dein Ge,
Ae Mery humsafar Meri Tamanna Na Kia Kr,

Kya janey Ye Kis Morr Pe Le jaey Zamana,
Tu Mujh Ko Kisi Pal Bi Elehda Na Kia Kr,

Mumkin Ha Kisi Roz Bichar jaen Achanak,
Tu Mujh Se Pyar itna Ziyada Na Kia Kr...


Submitted By Muneer
2

Ek chehra jo mere khwab saja deta hai
Mujh ko mere hi khayalon main sada deta hai

Woh mera kon hai maloom nahi hai lekin
Jab bhi milta hai to pahlu main jaga deta hai

Main jo ander se kabhi toot k bikhron
Woh mujh ko thamny k liye hath barha deta hai

Main jo tanha kabhi chupkay say bhi rona chahon
To Dil k darwazay ki zanjeer hila deta hai

Uski qurbat main hai kya baat na'janay FARAZ
Ek lamhay k liye sadiyon ko bhula deta hai.


Submitted By Muneer
3

Jagti raat k honton pe fasaney jaisy,
Ek pal me simitt aaye hon zamany jaisy,

Aqal kehti hai bhula do jo nahen mil paya,
Dil wo pagal k koi baat na maany jaisy,

Rasty men wohi manzar hain puraany ab tak,
Bus kami hai tou nahen log puraany jaisy,


Submitted By Muneer
4

Jitni haseen ho tum utni hi bewafa ho.
Phir bhi mere liye tum, mein kya bataon kya ho.

Tumko saja rakha hai palkon ki chilmano mein.
Tum sans le rahi ho is dil ki dharkano mein.

Itni qareeb ho kar, phir kyun juda juda ho.
Jitni haseen ho tum utni hi bewafa ho.

Mujhko siwa tumhare kuch bhi pata nahi hai.
Dunya mein hai to kya hai, dunya mein kya nahi hai.

Tum phir bhi badguman ho naraz ho khafa ho.
Jitni haseen ho tum utni hi bewafa ho.


Submitted By Muneer
5

'*.Teri Shidat-E-Muhabat K Diye Jala Kar.*"*.*"*.
'*.Shab-E-Tanhai Men Tujhe Dhonda Aksar.*"*.*"*.

'*.Kabhi Teri Aankhon Men Khud Ko Utarte Dekha.*"*.*"*.
'*.Kabhi Tere Honton Ko Apne Honton Se Lagaya Aksar.*"*.*"*.

'*.Apni Bahon K Saye Men Sula loo Mujh Ko.*"*.*"*.
'*.K Teri Yaad Ki Dhoop Ne Jalaya Aksar.*"*.*"*.

*.Jee Men Aata Hai K Tujh Se Lipat K Ro Don.*"*.*"*.
'*.K Ab Bardasht Nahi Hoti Judayi Aksar.*"*.*"*.


Submitted By Muneer
6

Jany kyun apni hansi ap urana chahun,,,,
dil ki hr bat zmany ko sunana chahun,,,,

usko khushbu ki trah sath b rakhun apny,,,,
or phr usko zmany sy chupana chahun,,,,

koe bacha mery andr b chupa betha hy,,,,
rooth jata hy, main jb usko manana chahun,,,,

hy mhbt to mhbt me anaa, kya ma'ani,,,,
main to milny ko faqt ik bahana chahun,,,,

ek machli ki trah jal me aya hun main,,,,
or phansta hun jo khud ko churana chahun,,,,

ek uljan me mjy dal diya hy us ny,,,,
chor paon, na usy apna bnana chahun,,,,
YAAD mujko b hen yad kuch purani baten,,,,
bhol kr b na jinhen main bhulana chahun..!!!


Submitted By Muneer
7

*Wasi Shah*
Gun'gunatey hue aanchal ki hawa de mujhko..
Ungliyan phair k baalon me sula de mujhko..

Yaad kr k mujhe takleef hi hoti ho gi.,
Aik qissa hun purana sa, bhula de mujhko.,

Doobte doobte aawaz teri sun jaon.,
Aakhri baar tu sahil se sada de mujhko.,

Main tere hijr me chup chap na mr jaon kahin.,
Main hun sakte me, kabhi aa k rula de mujhko.,

Dekh main ho gaya badnaam kitabon ki tarah.,
Meri tash'heer na kr, ab tu jala de mujhko...@


Submitted By Muneer
8

Teray Shaher Teri Soch Say Nikal Jaon Ga,
Kisi Udaas Sham Main Dhal Jaon Ga,

Tu Jo Mukar Gaya Hai Her Baat Say Apni,
Dekh Lena Eik Din Main Bhi Badal Jaon Ga,

Mat Dikha Muj Ko Apna Pasheman Chehra,
Jab Ke Tu Janta Hai Main Pighal Jaon Ga,

Chahay Lakh Tarpon Tere Intzaar Main,
Mat Lot Ke Aana Main Sambhal Jaon Ga,

Tera Hona Itna Zarori To Nahi Hai,
Main To Yaadon Ke Khilony Say Behal Jaon Ga


Submitted By Muneer
9

Es dard k bad koi dard nhi lagta,
K shiddat-e-dard ki inteha hoti hai MUHBAT.

Nhi uthti wo ankhaen phir kisi pe,
K jin ankhon me fana hoti hai MUHBAT.

Umar bhar jin ka azala na kar paye,
Bas ek aesi hi khata hoti hai MUHBAT.

Jo mil jae to bas phir kya kehna,
Warna ek musalsal saza hoti hai MUHBAT.

Log mujh se har bar yehi pochte hain,
tum ne us me kya dekha,
Dost Main har bar yehi kahta hun"BE WAJA" hoti hai MUHBAT


Submitted By Muneer
10

Shehr-e-mohbt, hijr ka mosm, ehd-e-wfa or me
Tu to is bsti se khush khush chla gya, or me

Tu jo na ho to jese sb ko chup lg jati he
Aapas me kya baten krte rat, diya or me

Sair-e-chamn aadat thi pehle, ab mjburi he
Teri tlash me chl prte hn bad-e-sba or me

Jis ko dekho teri hu me pagl phirta rhta he
Wrna hm-mushrib to nhi the khalq-e-Khuda or me

Ek zmane bad Faraz ye shair kahe me ne
Ik muddt se mile nhi hn yar mera or me


Submitted By Muneer


<<First       <Previous       41   42   43   44   45   46   47   48   49   50       Next>  

Newer Post Older Post