Ghazal SMS Page 44

1

Yaadon Ka Ek Jhonka Aaya Hum Se Milne Barson Baad
Pehla Itna Roye Nahi Thay Jitna Roye Barson Baad

Lamha Lamha Ghar Ujrra Hai Tau Hum Ko Ehsaas Hua
Pathar Aaye Barson Pehle, Sheeshay Tootay Barson Baad

Aaj Humari Khak Pe Dunya Ronay Dhonay Baithi Hai
Phool Huay Hain Itnay Sastay Janay Kitne Barson Baad

Dastak Ki Umeed Lagaye "Saqi" Kab Tak Jeetay Hum
Kal Ka Wada Karnay Walay Milne Aaye Barson Baad


Submitted By Muneer
2

Bari Tarap Hai Meri Iltaja K Pardey Mein,
Main Tum Ko Maang Raha Hoon Dua K Pardey Mein

Usey Bhi Dar Hai K Ye Raaz Khul Na Jaye Kahin,
Likhta Hai Naam Mera Wo Hina K Pardey Mein

Main Us K Koochey Se Guzra Tau Ye Mehsoos Hua,
Mujhe Pukara Hai Uss Ne Hawa K Pardey Mein

Ajeeb Tarz-e-Maseehai Uss Ne Dikhai,
Hayyat Meri Badal Di Dua K Pardey Mein

Is Tarah Chehray Ko Zulf Mein Chupaya Us Ne,
Kay Jesay Chaand Chupa Ho Ghata Kay Pardey Mein


Submitted By Muneer
3

Tere Harf-o-Lab Ka Talism Tha, Meri Aab-o-taab mein Reh Gaya
Wo Kisi Gulaab Ka Jism Tha Jo Meri Kitab Mein Reh Gaya

Meri Baat Baat Mein Roshni Mere Harf Harf Mein Dil-Kashi
Tu Mere Sharek-e-Wisaal-e-Jaan, Meri Her Kitab Mein Reh Gaya

Koi Phool Ban K Bhikar Gaya Koi Baat Ban K Bigar Gaya
Na Sawaal Koi Labon Pe Hai Na Gila Jawab Mein Reh Gaya

Tujhe Kiya Bataen K Kiye Hua Wo Saroor-e-Raqs-e-Wafa Gaya
Na Gunah Mein Rahi Baat Wo Na Maza Sawaab Mein Reh Gaya


Submitted By Muneer
4

Deepak, Jugnoo, Chaand Sitare Ik Se Haan
Ya'ni Saare Ishq K Maare Ik Se Haan

Hijr Ki Shab mein Dekh Tou Aa K Mere Chaand
Mere Aansoo Aur Ye Tere Ik Se Haan

Meri Kashti Kis Ne Duboi Kiya Maloom
Saari Hehren, Saari Dhare Ik Se Haan

Kuch Apne Aur Kuch Begaane Aur Main Khud
Meri Jaan K Dushman Saare Ik Se Haan

Ab Batlaon Ham Kis Se Faryaad Karen
Qatil, Haakim, Mansaf Saare Ik Se Haan


Submitted By Muneer
5

==Aaya Na Tujhe Raas Koi Ghar Bhi Qafas Bhi
==Ab Ay Dil-e-Kamzarf Kis Shehar mein Bas Bhi

==Thukra K Jo Aaya Hai Samandar Ki Sakhawat
==Ab Dasht-e-Musafat Mein Ghataaon Ko Taras Bhi

==Main Payas Ka Sehra, K Guzer Gah Hoon Teri
==Tu Abr Ki Surat Hai Kabhi Mujh Pe Baras Bhi

==Mohsin Mujhe Cherain Gay Bohat Chaand,Nadi,Phool
==Aaya Na Mera Yaar Agar Ab K Baras Bhi


Submitted By Muneer
6

'Dard Kiya Hota Hai Batayen Gay Kisi Roz'
'Kamaal Ki Ghazal Tum Ko Sunayen Gay Kisi Roz'

'Thi Un Ki Zid K Main Jaaon Un Ko Manane'
'Mujh Ko Ye Weham Tha Wo Bulayen Gay Kisi Roz'

'Us RAB Ki Qasam Main Ne Tou Sohca Bhi Nahi Tha'
'Wo Itna Mere Dil Ko Dukhayen Gay Kis Roz'

'Her Roz Aainay Se Yehi Poochta Hoon Main'
'Kiya Rukh Pay Tabassum Bhi Sajayen Gay Kisi Roz'

'Urnay Do In Parindo Ko Aazad Fiza Mein "Faraz"'
'Tumhare Hon Gay Tou Laut Hi Aayen Gay Kisi Roz'


Submitted By Muneer
7

Lahu Se Dil K Kaghaz Per Koi Tehreer Hoti Hai
Tau Ahl-e-Dil Samajhtay Hain Yehi Taqdeer Hoti Hai

Tujhy Khuwabon Mein Aksar Log Mujhse Cheen Letay Hain
Suna Hai Saarey Khuwabon Ki Ult Taabir Hoti Hai

Yehi Chahat Kisi Ko Taaj Ki Surat Nazar Aaye
Yehi Chahat Kisi K Paaon Ki Zanjeer Hoti Hai

Wafa Ki Jung Talwaron Se Jeeti Ja Nahi Sakti
K Sachai Or Mohabbat Se Hi Wafa Ki Jeet Hoti hai

Suno Ghazlen Be-Sabab Likhi Nahi Jati
K Shaayer K Tassavur Mein Koi Tasveer Hoti Hai


Submitted By Muneer
8

Jalti Hui Zameen Ko Bachana Para Mujhe
Baadal Ki Tarah Dasht Mein Aana Para Mujhe

Bholay Se Meri Simt Koi Dekhta Na Tha
Chehray Pe Ek Zakhm Lagana Para Mujhe

Us Ajnabi Se Haath Milanay K Waastay
Mehfil Mein Sub Se Haath Milana Para Mujhe

Us Bewafa Ki Yaad Dilata Tha Baar Baar
Kal Aainay Se Haath Uthana Para Mujhe

Wo Kar Nahi Raha Tha Meri Baat Ka Yaqeen
Phir Youn Huwa K Mar K Dikhana Para Mujhe


Submitted By Muneer
9

Taskeen Na Ho Jis Se Woh Raaz Badal Dalo
Jo Raaz Na Rakh Paye, Hamraaz Badal Dalo

Tum Ne Bhi Suni Hogi Bari Aam Kahawat hai
Anjaam Ka Ho Khatra, Aaghaaz Badal Dalo

Pur-sooz Dilon Ko Jo Muskan Na Day Paye
Sur Hi Na Milay Jis Mein Wo Saaz Badal Dalo

Dushman K Iraadon Ko Hai Zair Agar karna
Tum Khail Wohi Khailo Andaaz Badal Dalo

Ae Dost Karo Himmat Kuch Dour Sawaira Hai
Gar Chahte Ho Manzil Parwaaz Badal Dalo


Submitted By Muneer
10

**Apne usool youn bhi kabhi torne paray**
**Uski khata thi hath mujhe jorne paray**

**Aya na jab qarar dil-e-beqarar ko**
**Yaadon k rukh tumhari tarf morne paray**

**Usko to meri yaad bhi aai na aik din**
**Apne paraye jis ke liye chorne paray**

**Mohsin wo shakhs khud bara be usool tha**
**Apny usool jis k liye hum torne chalay**


Submitted By Muneer


<<First       <Previous       41   42   43   44   45   46   47   48   49   50       Next>  

Newer Post Older Post