Ghazal SMS 59



1

Wafa k qaid khaano men saza'en kab badalti hen?
Badalta dil ka mosam hy hawa'en kb badalti hen?
:::
Labada orh kr ghum ka nikl jaty hen sehra ko,
Jawab aaye ya na aaye sada'en kb badalti hen?
:::
Meri sari duaen TUM se hi mansoob hen,
Mohabat ho agr sachi dua'en kb badalti hen?
:::
Koi paa kr nibhata hy koi kho kr nibhata hy,
Naye andaz hoty hen wafa'en kb badalti hen.


Submitted By Muneer
2

Hamari Hasti Mita rahe ho,Tumhari Marzi...
Nishan-e-ibrat Bana rahe ho,Tumhari Marzi...
#
Mere Jigar men Jafa k Khanjar Utaar kr Tum,,
Wafa k Naghme Suna rahe ho,TuMhari Marzi...
#
Tumhari Khatir Jo Sari Duniya ko Chhor Aay,,
Usi se Daman Chhura rahe ho,Tumhari Marzi...
#
Meri Umeedon k Aashiyane Ujar kr Tum,,
Kisi ki Duniya Basa rahe ho,Tumhari Marzi...
#
Tumhara Didar 1 Bahisht-e-nazar he lkin,,
Tm Apna Chehra Chupa rahe ho,Tmhari Marzi..!!


Submitted By Muneer
3

Kitni Majborian Hum Palkon Pe Saja Letey Hain,,
Hum Kahan Rotey Hain Halaat Rula Detey Hain,,

Yaad Rahtey Hain Buray Waqt K Sathi Kis Ko?
Subah Hotey Hi Log Shama Bujha Detey Hain,,

Sath Hotey Hain To Lagta Hai K Sadiyon Ka Sath Hai,,
Door Hotey Hain To Faqat Do min Mai Bhula Detey Hain.


Submitted By Muneer
4

Hijar ki raat aankhon me guzaron ga to ro doon ga
Khayalon me uski zulfen sanwaroon ga to ro doon ga

Yoon hi sunsaan raaton me preshani k aalam me,
Gali me aa k jab us ko pukaroon ga to ro doon ga

Uski tasveer ankhon ko jhapkane b nahi deta,
Me jab deewar se us ko utaaroon ga to ro doon ga

Agar me zindgi b haar doon to muskuraon ga,AZAD
Magar jab us ko me haaroon ga to ro doon ga


Submitted By Muneer
5

Muje jeenay ki umeed dobara day do.
Meri doobti kashti ko kinara day do.

Main dard k sahil pe tanha khara hoon,
Phir aa k apni baanhon ka sahara day do.

Tera daman to bhara hy sitaron se.
Mujhe sadqay mein aik sitara day do.

Mere aangan mein aaj andhera hai bohat.
Meri dehleez ko Chraghon ka ujala de do.


Submitted By Muneer
6

Kab dard k maron ko sakoon hota hai MOHSIN,
Jab ishq nahi hota to janoon hota hai MOHSIN

Bybus fakeeron se nahi pochta koi,
Kis tarha tmannaao ka khon hota hai MOHSIN

Yeh ishq jo apna humain hone nahi deta,
Yeh ishq bhi hota hai to keyun hota hai MOHSIN..?

Har shaam chragoon ki tarha jalti hein Aankhain,
Kaya koi chala jaey to youn hota hai MOHSIN!


Submitted By Muneer
7

MujKo Ye ßhi Nahi Máloom Kahan Rehta Hai,
Jo K Chalti Hui Saanson Mai Rawan Rehta Hai.

Yun To Her Tarha Se Weeran Hai Dil Ki Basti,
Bin Bataye Hi Magar Koi Yahan Rehta Hai,

Ab Kis Rat Mein Jalta Nhi Koi Chiraag,
Sham Se Bas Usi Ki Yadon ka Dhuawn Rehta Hai,

Koi Do Din Ko Jo Ho Jata Hai Mehman Dil Mein,
Wo Chala Jaye Tu Phr Uska Nishan Rehta Hai,

Aks Uska Nazar Ata Hai Har Ik Cheez Mein MOHSIN
Raat Din Bas Uska He Gumaan Rehta Hái


Submitted By Muneer
8

Tanha ghar se bahir jana theek nahi
Tum masoom ho or zamana theek nahi

Saaf dilon ko phir se mela kar den gi
Guzri baton ko dohrana theek nahi

Aisi cheezen door se achi lagti hen
Chand ko apne pas bulana theek nahi

Aao mre hath pe apna hath rakho
Saa'el ko khali lotana theek nahi

Rafta Rafta tabiren beh jati hen
Nm ankhon me khwab sjana theek nahi

Chor Mohsin in pathr dil insanon ko
Apne dil ka hal sunana theek nahi...


Submitted By Muneer
9

Khatam Apni Chaahton Ka Silsila Kaise Hua
Tu To Mujh Mein Jazb ThaMujh Sy Juda Kaise Hua

Woh Jo Tere Aur Mere Darmiyan Aik Baat Thi
Aao Sochen Shehar ous Sy Aashna Kaise Hua

Chubh Gai Seeney MeinTooti Khawhishon Ki Kirchiyaan
Kya Likhoon? Dil Tootne Ka Haadsa Kaise Hua

Jo Rag-e-Jaan Tha Kabhi Milta Hai Ab Rukh Phair Kr
Sochta Hoon Is Qadar Woh Bewafa Kaise Hua...


Submitted By Muneer
10

Ye jO sargUshta se phirty hen kitabOn waly"
In se mat miL ke inhen rOg hen khwabOn waly

Ab mah_O_saal ki mOlat nahi milny wali
Aa ChUky Ab tO shab_O_rOz aazabOn waly

Ab tO sUb Dshna_O_Khanjar ki zUba'n bOlty hen
"Ab kahan lOg mOhabt ke nisabOn waly

Na mery zakhm khiLay hen na terarang_e_hina
"Ab ke mOsUm hi nhi aYe gUlabOn waly

YOun tO Lagta hy k Qismat ka sikandar hy"FaraZ"
Mgr andaz hen sUb khana kharabOn waly..


Submitted By Muneer


<<First     <Previous     51   52   53   54   55   56   57   58   59   60  

Newer Post Older Post