Ghazal SMS 53
wO HumSaFAr THa MaGAr Us sE HumnAwAi nA THi,
K DHoOp cHAoN kA ALam RaHa JuDAi nA THi,
ADawatEn THEin TaGHaFuL THA RanJisHEin THEin MaGAr,
BicHArnE WaLy Me SaB Kuch THA MaGAr Be'wAFAi nA THi,
BicHartE WaQt yOn AankHoN Mein THi Hamari GHazaL,
GHazaL BHi wO jO KiSi kO KBhi SunAi nA THi,
KiSsE PukAr RHa THA wO DoBta HowA Din,
SaDA Tu I THi LekiN kOI DuHAi nA THi,
KBi YeH HaAL K DonOn Me Yak'DiLi SAGAR,
KBi YeH MarHaLA JaiSe k AasHnAi nA THi...!
Submitted By Muneer |
Nikal k ghar se kabhi mere raaston me aa
Bikhar k meri tarha tu musafaton me aa
Teri talaash me janey me kab se phirta hon
Main thak chuka hon tu ab meri aahaton me aa
Main rang-o-boo ki numaish me aab'deeda hon
Tu abar ban k meri simt barishon me aa
Main tere wastey khiltey gulaab laya hon
Bahaar ban k kabhi mere mousamon me aa
Mohabbaton me bicharna koi kamaal nahi "MOHSIN"
Kamaal ye hai k bichar k wapis mohabaton me aa.@
Submitted By Muneer |
Kabi kuch soch ke likhna kabi kuch soch ke pARhna,
Ye na'mumkin si koshish hai muhabbat soch ke kARna!!
Kisi ka dil'ruba chehra or us pe dil'nasheen aankhen,
Ke jisko dekh ke jeena usi ke naam pe mARna..!
Ye na'mumkin si koshish hai muhabbat soch ke kARna......!!
Khayalon me bana lena kisi ka aks dheeRey sy,,
ChuRa ke Rung sapnoon ke kisi ki aankh me bhARna..!
Ye na'mumkin si koshish hai muhabbat soch ke kARna......
Submitted By Muneer |
Mat pochiye kahan ja k dil laga liya humne,
Khud par heran hon ye kya kiya humne,
Log apni muhabat k afsane sunate phirte hain,
Chup chap kisi ko dil mein basa liya humne,
Main usko chahti hon ye us k tasawar mein b nahi,
Ek tofan uthe ga agar usey bata diya humne,
Main to pehle hi tanha thi us ki chahat mein,
Khud ko kuch aur tanha bana liya humne,
Musafir hoon chali jaon gi kisi din,
Tere shehar ko apna shehar bana liya humne.
Submitted By Muneer |
¤¤Jab Guzar jaye gi Bahaar to kya karo ge¤¤
¤¤Yaad aye ga mera Pyar to kya karo ge¤¤
¤¤Sattaty ho aise jaise ajnabi hoon Main¤¤
¤¤Jab ruthy ga tum se yar to kya karo ge¤¤
¤¤Apnao ge kisi aur ko mujhe Tanha chor kar¤¤
¤¤Usey ho ga na tum se Pyar to kya karo ge¤¤
¤¤Aakhir lot k aao ge tum meri raaho per¤¤
¤¤Phir milay ga na phela Pyar to kya karo ge¤¤
¤¤Abhi to hanste ho meri Wafaao per¤¤
¤¤Dost phir rona bhi hoga bekaar to kya karo ge¤?
Submitted By Muneer |
Hum to Nazuk Hein Bilkul kisi Ehsas ki Tarah,
Tum Na Socho ge Humen to Mar jayen ge,
Pas Raho ya Dur Itna Khyal Rakhna,
K Tum Na Dekho ge Humen to Mar jayen ge,
Titliyon Me or Hum Me Yahi!Bat Hai Mushtrik,
Pakar k Jab Choro ge Humen To Mar Jayen ge,
Dil ki Tehni Pe Hi Khila Rehne Do Humari Muhabat ka PHOOL,
Jab b Tehni Se Toro ge To Mar Jayen ge.
Kabhi Na Milna Hum Se Moj-e-Darya Ban k,
MIL K BICHRO GE HUM SE,TO MAR JAYEN GE.
Submitted By Muneer |
Din ko mismaar huay raat ko ta'meer huay,
Khwaab hi khwaab faqat rooh ki jageer huay.
Umr bhar likhty rahy phir bhi warq saada raha,
Jaany kya lafz thay jo humse na tehreer huay.
Ye alag dukh hai k hain tere dukhon se azaad,
Ye alag qaed hai hum kyun nhi zanjeer huay
Submitted By Muneer |
Ab agar aao to jane k liye mat aana,
Sirf ehsaan jatane k liye mat aana...
Main ne palkon pe tamannaen saja rakhi hain,
Dil mein umeed ki so shamein jala rakhi hain.
Yeh haseen shamein bujhane k liye mat aana,
Ab agar aao to jane k liye mat aana...
Pyar ki aag mein zanjeerein pighal sakti hain,
Chahane walon ki taqderein badal sakti hain.
Tum ho bebas ye batane k liye mat aana,
Ab agar aao to jane k liye mat aana.....!
Submitted By Muneer |
Mosm-e-gul mein agar shaakh se tooty hoty,
Kuch shgoofay b usi shaakh se photy hotay,
Dil bara sakht tha her sung jheel giya,
Warna hum shiddat-e-ehsas se tootay hoty,
Us ko jana tha to pehlay he juda ho jata,
Is tarha roz k marnay se to chootay hoty,
Hont chup chaap sahi,Aankh he kuch keh jaati,
Roothnay walay saleeqay se to roothay hoty,
Hum nay huns huns k bharam ehl-e-wafa ka rakha,
Hum b ro detay agar ishq mein jhooty hoty.
Submitted By Muneer |
"A J N A B I"
Main Usy kaisy Akela Chor Doon is Raah Main
Saath Jo Challta Raha Majboriyon K Baad Bhi
Ban K khushbo Rach Gaya Hai Yon Mery Ehsaas Main
Door Ho Paya Nahi Wo Duriyon K Baad Bhi
Rafta Rafta Usko Bhi Ye Dunia Raas Aa Hi Gai
Muskura K Wo Mila Hai Ranjishon k Baad Bhi
Faasly Kab Kam Howy Hain Rabton K Baad Bhi
'Ajnabi' Thy 'Ajnabi' Hain Koshishon K Baad bhi.
Submitted By Muneer |
<<First <Previous 51 52 53 54 55 56 57 58 59 60