Ghazal SMS 56



1

"Tujhi ko apne dil men basaya or basaya kuch bhi nahi,,"
,"Jidhar dekha udhar tu hi nazar aya or nazar aya kuch bhi nahi,,"

"Dunia walon ne be waja badnam kar dia mujhe,,"
,"Me'ne bas tera dil churaya or churaya kuch b nahi,,"

"Bas ek tujhi ko nahi khona chahtey thay hum lekin,,"
,"Hum'ne bas tujhi ko ganwaya or ganwaya kuch b nahi,,"

"Wo jisko yaad kiye baghair sotey nahi thay hum
,"Usne bas hamain hi bhulaya or bhulaya kuch b nahi"...


Submitted By Muneer
2

Bichrna Chahti Hai Magar Juda Hone Se Darti He Wo
Mere Dil Ki Qaid Me Reh Ker Reha Hone Se Darti Hai Wo

Aksar Mera Naam Kagaz Pe Likha Karti Hai
Per Jab Ru-Baru Hon To Naam Lene Se Darti Hai Wo

Jab Tak Guzar Na Jaun Dekhti Rehti Hai Chup Chup Kar
Palat Kar Dekh Loon To Nazre Milane Se Darti Hai Wo:-


Submitted By Muneer
3

Sham ki palkon pe Lrazte rehna
Dob jaey jo ye manzar to braste rehna

Uski adat vohi har bat adhori karna
Or phir bat ka mafhum badalte rehna

Aag se sekh lie hy ye karina hum ne
Bujh b jana to bri dair tak sulgte rehna

Jane kis umar me jaey gi ye adat uski
Rothna khud se to auron se ulajhte rehna...


Submitted By Muneer
4

Jis trah ki hain yeh deewaaren, yeh dar jaisa b hy,
Sar chhupaany ko muyassar to hy Ghar jaisa b hy.

Es ko mujh se, mujh ko es se Nisbatain hain be'shumaar,
Meri chaahat ka hy Mehwar, yeh nagar jaisa b hy.

Chal parra hun, shoq-e-be'parwaah ko Murshad maan kar,
Raasta Pur'Paich hy ya, pur khatar jaisa b hy.

Sub gwaara hy Thakan, saari dukhan,
saari chubhan,Aik Khushoo k leay hai yeh safar jaisa b hy.

Woh to hy Makhsoos ik Muhabbat k leay,
Uska NOOR , Baa'hunar ,ya be'hunar jaisa b hy....


Submitted By Muneer
5

Mana k musht e khak se barh kar nahi hun main,
Lekin hawa k rehm o karam par nahi hun main.

Insan hun, dharakty huye dil pe hath rakh,
Yun doob kar na dekh, samandar nahi hun main.

Chehry pe mal raha hun siyahi nasib ki,
Aayina hath mein hy sikandar nahi hun main.

Ghalib teri zamin mein likhi to hai ghazal,
Tere qadd e sukhan k baraber nahi hun main..


Submitted By Muneer
6

Karni ho mohbt to phir socha nahi kartay,
Anjam ho jesa b ye dekha nahi kartay,

Himat na ho lrnay ki to A' jan e wfa sun,
Yun ishq k medan main utra nahi kartay,

A' kash koi zmanay ko itna hi bata day,
k behtay hoay dryaon ko roka nahi kartay,

Hotay hain khuddar wohi log jhan main,
Jo mar jatay hain mgar dosto say dokha nahi kartay,

Wo aashiq nahi hotay ham kehtay hain FARAZ
Jo ishq main kuch b to khoya nahi kartay.?


Submitted By Muneer
7

Wo Waqt Tha Aisa K Juddai Zaroori Thi.
Mohabat Ki Zanjeeron Se Rihai Zaruri Thi.

Rasam-E- Mohabat Nibhai Phr B ILzam Mila.
Is Liye Mohabat Me Thori Be wafai Zarori Thi.

Bheer Me Reh Kr B Akele He Rahe Hum.
Zindagi Men Humari Tanhai Zaroori Thi.

Humesha Hum He q Saza Payen?
Us Ke Liye B Thori Ruswai Zaroori Thi.

Ek Ek Lafz Dhond Kr Hum Ne Mukamal Ki Thi.
Par Humari Kahani Aaj B Adhori hykal B adhori thi...


Submitted By Muneer
8

Mere Qalam Pe Rahi Nok jis k khanjar ki,
Sunaa he us ki zuban bhi hui he Pathar ki,

Rawaa he Qalazm_e_ khon Andron_e_ shehr bhi dekh,
K khush'Numa to bohat he Faseil bahr ki,

Ujaar Per gay Mosmon ko rote hain,
Har Aabjo ko hoos Pee gai samandar ki,

Faqihia_e_shehr jaben Par kalah_e_ zr Rkhe,
Suna Rha he humein aayten muqdar ki,

Khud apne khon mei Nahaay huwe magr chup hain,
Ye log hain k chatanein surkh Pathar ki,

Wo aik shakhs k sorj k Rop mei aya,
Chura k le gaya shamaen 'FARAZ' Har Ghar ki...!!!


Submitted By Muneer
9

Niyat hi Agar Theek Zamane ki Nahi Hai
Jaldi to Mujhe Bhi Kahin Jaane Ki Nahi Hai

Jin Khwabon Ki Taabir Per israr Hai Tum ko
Un Khwabon Ki Tabeer Batane Ki Nahi Hai

Jis Baat Ko Phirte Ho Chupaye Hue Dil Me
Wo Baat Kisi Se Bhi Chupane Ki Nahi Hai

Is Bheer Me Saye Se Bicharta Hua Saya
Kahta Hai Yahan Sath Nibhane Ki Nahi Hai

Jalte Hue Shahron Me izafa Hi to Hoga
Jab Rasm Koi Aag Bujhane Ki Nahi Hai

Jo tere Liye WaQt Se Larte Hain Abhi tak
Un ko to Khabar Hi Tere Ane Ki Nahi Hai

Dukh ye Hai tu Sach Sunne Ki Adi Nahi Warna
Ye Umr Tujhe Khwab Dikhane Ki Nahi Hai.


Submitted By Muneer
10

Aag k sheher me tinkay ki haqiqat kya thi . ?
Dasht par phool ka saya tha Mohabat kya thi . ?

Zakhm thay dard tha tanhai thi Veerani thi . ?
Kya bataun k tere ishq me raahat kya thi . ?

Tujhko chaha hi nahi teri Ibadat ki hai . ?
Ek patthar ko magar us ki zarurat kya thi . ?

Ek muddat hui Izhar-e-Mohabat kar k
Aaj tak soch raha hun k himaqat kya thi . ?

Kya bataun k yahan poch rahay hain sab log
Wo jo guzri hai mere Dil pe Qayamt kya thi..?


Submitted By Muneer


<<First     <Previous     51   52   53   54   55   56   57   58   59   60  

Newer Post Older Post