Ghazal SMS 55
Nahi acha faqat koi ishaara saaf keh do na//
Kahan tak sath do gay tum hmara saaf keh do na//
Judai ki tarha drya b apne sath chalta hai//
Nahi milta kinare se kinara saaf keh do na//
Bahane apni majbori k Q a kar sunate ho//
Qasoor is mein nahi koi tumhara saaf keh do na//
Humen tanhai k taaney tu mat do ghaer k aagey//
K hum b dhond len koi sahara saf keh do na//
Hmare haath ki aksar lakerain milti julti hen//
Mgar milta nhi apna sitara saf keh do na
Submitted By Muneer |
Andheri rat main shama jalana bhool jate hô
Hamari yad aati hai bulana bhool jate hô
Tumhari ek yehi aadat pareshan ham ko rakhti hai
Nazar main aa to jate ho samana bhool jate hô
Tumhare hath main aksar gulabi phool daikhe hain
Hamari rah main aksar bichana bhool jate hô
Tumhen tou lot jane ki aksar fikar rehti hai
Magar jab lot jate ho to aana bhool jate hô
Suna hai tum hatheli per hamara naam likhte hô
Magar jab hum sey milte ho dikhana bhool jaty hô..!
Submitted By Muneer |
"IZHAR" "MOHABBAT"
"Tujhy Veham Ho Shayad K Mujhy Tum Se Pyar Nahi"
"Main Ye Soch Kar chup Hon K HALAT Saz Gar Nahi"
"SAMA Gaye Ho Tum Mare ""DIL""MAIN Kuch Is Thara"
"K BIN Tere Mujhy Koi Saro kar Nahi"
"Ye Dunia Chahy Jo Kuch Be Kahay"
"Ik Tum Na Khena K Mujhy Tum Se Pyar Nahi.
Submitted By Muneer |
~*"Ejazat"*~
Khud ko is DIL main basane ki EJAZAT dedo
Mujhko TUM APNA banane ki EJAZAT dedo
Tum meri ZINDAGI ka 1 haseen LAMHA ho
Phoolon se Khud ko sajane ki EJAZAT dedo
Main kitna CHAHTA hon Kiss tarha bataon tumhe
Mujhe ye AAJ batane ki EJAZAT dedo
Tumhari CHAND si aankhon main CHAND sa chehra ho
Mujhe ye SHAM sajane ki EJAZAT dedo
Mujhe QAID karlo APNE ISHQ main
Ya mujhe ISHQ karne ki EJAZAT dedo.
Submitted By Muneer |
Tumhara sath mil jaye to sub dukh bhol jaon gi...
Wo kehti thi tumhain har sorat apna bnaon gi...
Nichawar khawb ksr dongi tumhary har ishary par...
Kbhi pepal ki chaon par kabhi naddiya kinary par...
Mujy tm sy mohabt hai main logon ko btaon gi...
Wo kehti thi tmhain har sorat apna bnaon gi...
Meri thandi c tanhai sulagti rat jasi ho...
Mujy bs sath ly jao bhaly barat jasi ho...
Tmhary surkh joray main he dulhan ban k he aaon gi...
Wo kehti thi tmhain har sorat apna he bnaon gi...
Mujy tm sy mohabt hai main logn ko btaon gi...
Wo kehti thi main har sorat tmhain apna bnaon gi...
Submitted By Muneer |
Zinda The Jis ki Aas pe Woh Bhi Rula Gaya
Bandhan Wafa k Toor ke Sary Chala Gaya
Khud Hi to Ki thi Us ne Muhabat ki Ibtada
Hathon Main Hath De ke Khud Hi Chhura Gaya
Kar di Jis Ke Liye Hum Ne Tabah Zindagi
Ulta Woh Bewafai ki Tuhmat Laga Gaya
Submitted By Muneer |
"= WASI SHAH = "
Kiss qadar anokha hay raabta muhabbat ka,
Kab na janay ho jaye mojza muhabbat ka...
Apni zaat sy b wo ajnabi sa lagta hy,
Jiss k sath ho jaye haadsa muhabbat ka...
Wo chala hi jata hy jis ny jana hota hay,
Lakh do chahay usko waasta muhabbat ka...
Zindagi mein jeenay ka aasra nahi rehta,
Jab kisi sy cheen jaye hosla muhabbat ka...
Doston sy 'WASI' agar tumhain muhabbat hay,
Doston ko mat dena mashwara muhabbat ka
Submitted By Muneer |
Tum Ne Girtay Huey Patton Ko Tou Dekha Ho Ga
Apni Hr SAANS Vo TEHNI Pe Ganva Detey Hen
Kya Khoob Sajatey Hen Baharon Mein Shajar Ko
Karri Dhoop Mein APNA Aap JALA Detay Hen
Kitnay BE-REHAM Shajar Hen Naey Patton Ki Khatir
Puranay Patton Ki Wafaon Ko Bhula Detey Hen...
Submitted By Muneer |
Ghubar e mehmil e gul per hujom e yaran hy,
K har nafs, nafs e aukhirif baharan hy.
Btao wajad karun ya lab e sukhan kholon,
Hun mast e raaz or anboh e raazdaran hy.
Mita hua hun shabahat pe namdarun ki,
Tabah hun k yehi waza e namdaran hy.
Chala hun phir sar e ku e daraz e mizganan,
Mera hunar, hunar e zakhm e tazar'waran hy.
Yehi hy waqt k aaghosh waar raqs karo,
Sarwar e neem shbi hy saf e nigaran hy.
Firaq e yar ko thehra liya hay uzer hiwas,
Koi batao yehi rasm e sogwaran hy?
Submitted By Muneer |
Tere Pyar Me Rusva Ho Kar Jaye Kahan Divane Log
Jane Kya Kya Puch Rahe Hyn Ye Jane Pahchane Log
Jese Tumhen Ham Ne Chaha Tha Kon Bhala Yun Chahe Ga
Mana 0r Boht Aaen Ge Tum Se Pyar Jatane Log
Kese Dukhon K Mosm Aye Kesi Aag Lgi Yaro
Ab Saharaon Se Late Hyn Phulon K Nazrane Log
Kal Matam Be Qimat Hoga Aaj Inki Toqir Kro
Dekho Khoon-e Jigr Se Kya Kya Likhate Hyn Afsane Log
Jante Hyn Ye Ishq Musalsal Rog Hy Ah-o Zari Ka
Phir B 0ske Kuche Me Jate Hyn Umr Gavane Log
Submitted By Muneer |
<<First <Previous 51 52 53 54 55 56 57 58 59 60