Shayari SMS Page 29
))) Jise hum apni rag-e-jaan banaey bethay thay (((
))) Wo dost tha, Magar ek aur mehrbaan ka tha (((
))) Safar ko nikle thay hum jin ki rehnumai mein (((
))) Wo ek sitara kisi aur aasmaan ka tha (((
| Submitted By Muneer |
Deewangi hay ya meraaj-e-ishq hay
Har shakhs tere shehar ka tujh sa laga mujhe
| Submitted By Muneer |
Ay dost, tujh se turk-e-tauluq k bawajood
Mehsoos ki hay teri zaroorat kabhi kabhi
| Submitted By Muneer |
Maza barsaat ka chaaho tou in aankhon mein aa betho
Wo barson mein barasti hay, Ye barson se barasti hay
| Submitted By Muneer |
Tere siwa bhi kayi rang khush nazar thay, Magar
Jo tujh ko dekh chuka ho wo aur kiya dekhay
| Submitted By Muneer |
Tumhara naam likhnay ki ijazat chin gayi jab se
Koyi bhi lafz kehta hoon tou aankhen bheeg jati hein
| Submitted By Muneer |
Munkir hay wohi ab meri pehchaan ka Mohsin
Aksar mujhe khat khoon se likhta tha jo ek shakhs
| Submitted By Muneer |
Jis ki aankhen mujhe andar se bhi parh sakti hoon
Koi chehra tou mere shehar mein, Aisa laade
| Submitted By Muneer |
Munhasir Ahl-e-sitam par hi nahi hay Mohsin
Log apno ki Inayat se bhi mar jate hain
| Submitted By Muneer |
Main uthon tou rang laeyn, tazkiron k silsile
Log itna tou kahen k aadmi acha na tha
| Submitted By Muneer |
<<First <Previous 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30 Next>

