Shayari SMS Page 44



1


Ae Baad-e-Saba Aahista Guzar Dasht-e-Junoo se

Deewane So Rahe Hain Shab-e-Ghum Guzaar K



Submitted By Muneer
2


Kyun kehtey hain log k sohbat ka asar parhta hay

Main tou bewafaon ki mehfil mein reh kar bhi wafain nibhata raha



Submitted By Muneer
3


Tars tars k baraste hain mere aansoo is waqt

K aaj ek aur soraj dhal gaya tumhein yaad karte karte



Submitted By Muneer
4


Badnaam huey hum shehar mein jiski waja se

Us shakhs ko kabhi hum ne jee bhar k dekha bhi nahi tha



Submitted By Muneer
5


Har kisi k naseeb mein kahan hai Mohabbat

Kuch log paida hote hain faqat tanhaiyon k liye



Submitted By Muneer
6


Kisi k dil mein teri dharkan aaj bhi hay
Kisi ki nazar mein tera deedar aaj bhi hay

Agar zindagi se ho shikayat tou yaad karna
Kisi ki zindagi mein kami aaj bhi hay



Submitted By Muneer
7


Na jane kia kaha tha doobney walay ne samandar se Faraz

K lehrain aaj tak saahil pe apna sar patakhti hain



Submitted By Muneer
8


Jala k mom batti ko bhujana acha nahi
Hansa k kisi ko rulana acha nahi

Bari muchkil se banta hai koi apna
Apna bana k kisi ko bhulana acha nahi



Submitted By Muneer
9


Us k kehny par us ki tamana bhi chor di hum ne Faraz

Zara hum bhi tou dekhain kon chahta hay usey hamari tarha



Submitted By Muneer
10


Pal pal intizaar kiya is pal k liye
Wo pal aaya bhi tu ik pal k liye

Ab har pal dua hay us pal k liye
Kaash phir aajay wo pal ik pal k liye



Submitted By Muneer


<<First     <Previous     41   42   43   44   45   46   47   48   49   50     Next>

Newer Post Older Post