Islamic SMS Page 3
Hazrat Musa(A.S) ne Allah se arz kiya k ya Allah bohut acha hota k 4 chezen hoti or 4 chizen na hoti.
1)Zindagi hoti, Mout na hoti
2)Janat hoti, Dozakh na hoti
3)Dolat hoti, Ghurbat na hoti
4)Sehat hoti, Bemari na hoti
Uper se awaz aye
1)Agar mout na hoti to Mera deedar na hota
2)agar ghurbat na hoti to Mera shukar kon ada karta
3)Agar dozakh na hoti to Mere azab se kon darta
4)Agar Bemari na hoti to Mujhy yaad kon karta
Submitted By Muneer |
1. Jab Musalman wazoo karta hai to us k chehre, haath or paon se gunah nikal jate hain.(Muslim:244)
2. Waqt pe adaa ki hui namaz Allah ko tamam amaal mein ziada mahboob hai.(Bukhari:527)
3. Jo shakhs subha ki namaz ba-jamat parhe wo Allah k zimma mein hota hai.(Muslim:657)
4. Jab gunah kar betho to wazu kar k namaz parho phir astagfaar karo to Allah tumhary gunah bakhsh dey ga.(Tirmizi Sharif: Jild1, Pg# 415)
Submitted By Muneer |
Hazrat Ali(A.S) ne farmaya k main puri zindagi mein sirf aik raat skoon se soya hon.
Pucha gaya wo kyun?
Hazrat Ali(A.S) ne farmaya: Jis din Ap (S.A.W.W) ne farmaya k: Ay ali kal tum ny mal-e-ganimat taqsem kar k ana hy.
Kyun k sirf us raat mujy yaqen tha k main subah zinda uthonga.
*SubhaAllah*
Submitted By Muneer |
Jab azan di jaye to har kaam chor do.
Jo shakhs azan kay darmian baat karta hay tou maut kay waqt usey Kalma naseeb na ho ga.
Submitted By Muneer |
Irshad-e-Nabwi S.A.W.W ....
Aur ek wakt aye ga jab log neki ko mayub aur burai par fakhar karen ge,
Us wakt har tarha ki asaaish muyasir ho gi,
Har ghar mein naach gana hoga,
Log mukhtlif bemareo, Preshanio mein mubtla honge,
Maa aur nokrani mein koi farq na ho ga,
Log imartein aik dosre se unchi banaen ge,
Ap S.A.W.W ne farmaya k jab aisa zamana aye to kasrat se "ASTAGHFAAR" parhna
Kyun k ye sub se mufeed amal ho ga
Submitted By Muneer |
Allah is with U always!
When U are blessed, He is Al-rehman
When U are Hungry, He is Al-razzaq
When U are honoured, He is Al- Moiz
When U are weak, he is Al-moqeet
When U pray, He is Al-mujeeb
When U need friend, He is Al-wali
When U are detracked, He is Al-hadi
When U are gifted, He is Al-kareem
Submitted By Muneer |
"Insan" ki tabahi 3 baton mein hy...
1) Toba ki umeed pe gunah karna
2) Zindagi ki umeed pe toba na karna
3) Toba kiye bagher rehmat ki umeed karna
Submitted By Muneer |
Allah ki 4 rehmtain jo insan se bardasht nahi hoti.
1 Beti
2 Mehman
3 Barish
4 Bimari
Allah k 4 azab jo insan bohut khushi se qabool karta hai
1 Sood
2 Jahez
3 Gheebat
4 Jhoot
((Achi aur nek baat phelana sadqa-e-jaria hai))
Submitted By Muneer |
Nabi kareem s.a.w.w ki sunat
1: Logo sy mitey waqt muskurana
2: Andhy ko rasta dikhana
3: Rastay sy pathar htana
4: Jab marez ki ayadat ko jao to usy apnay liye dua karne ko kaho q k marez ki dua frishton ki dua ki tarha hoti hay
Submitted By Muneer |
Khush-Haali laaney wali 7 cheezain
1 Quran ki tilawat
2 Namaaz ki pabandi
3 Allah ka shukr ada karna
4 Majboor ki mada karna
5 Gunahon se tauba
6 Azeezon se acha sulook
7 Subah k waqt surah-e-yaseen Aur shaam k waqt surah-e-waqiya ki tilaawat
(Achi baat phelan bhi sadqa-e-jaria hay)
Submitted By Muneer |