Aqwal-e-Zaren SMS Page 3
Koi bhi gunah lazat k liye mat karo
Kyon k lazat khatam ho jati hay aur gunah baqi reh jata hay.
Koi bhi Naiki takleef ki khatir mat choro
Kyon k takleef khatam ho jati hay aur naiki reh jati hay
Submitted By Muneer |
"Allah ko paa kar kisi ne kabhi kuch nahi khoya
Aur
Allah ko kho kar kisi ne kabhi kuch nahi paya"
Submitted By Muneer |
Apni zindagi ko zaroriyaat tak mehdood rakho, khuwahish se parhez karo
Kyun K
Zaroriyaat faqeer ki bhi puri hoti hein or khuhishaat badshaah ki bhi adhori reh jati hein
Submitted By Muneer |
Kisi k aeib talash karne wale ki misaal us makhi ki si hay
Jo sara khubsurat jism chhor kar sirf zakhm par hi bethi hay
Submitted By Muneer |
*Dosti un se karo jo nabhana jante hon*
*Nafrat un se karo jo bhulana jante hon*
*Ghusa un se karo jo manana jante hon*
Submitted By Muneer |
Logon ko dua k liye kehnay se ziyada behtar hay
Aisey amaal karo k logon k dil se aap k liye dua nikley.
Submitted By Muneer |
Jab dua karo tou dosron ko bhi yaad rakho,
Ho sakta hay kisi k naseeb ki bohat si khushiyan aap k ek harf-e-dua k intezaar mein hon.
Submitted By Muneer |
Jhoot bol kar jeet jaane se behtar hy sach bol kar haar jao
Narazgi zahir karna dil mein burai rakhne se behtar hy
Submitted By Muneer |
Zindagi mein 2 logon ka bohut khayaal rakhna
1: Wo jinhon ne tumhar jeet k liye sub kuch haara ho.
2: Wo jinhon har dukh sukh mein tumhen pukaara ho .
Submitted By Muneer |
Kitna bad-naseeb hai wo insan jo apny waledain ki khidmat kar k dua nahi leta
Aur
Logon se kehta rehta hai k merey liye Dua karna.
Submitted By Muneer |